kaise jeetenge jang lashkar se | कैसे जीतेंगे जंग लश्कर से

  - Mohammad Aquib Khan

kaise jeetenge jang lashkar se
ham to uljhe hue hain bistar se

koi gar kaat kar mujhe dekhe
aap niklengay mere andar se

jab se isteefaa bheja hai usne
mera jee bhar gaya hai daftar se

har dafa raasta dikhaata hai
mujhko manzil mili hai thokar se

ham haraane gaye the behtar ko
aur ham haar aaye kam'tar se

sher par daad ae dard kaafi tha
dard dugna hua mukarrar se

ban ke wa'iz gaye hain maykhaane
aaj ham lad pade hain saagar se

phir se kya dhoondhti ho tum mujhme
tumko kya hi milega khandar se

maine ghazlen sunaai gaaron kon
cheekh aane lagi thi patthar se

vasl ka din nahin bataata hai
roz ladta hoon main calendar se

chaak ae dil theek kyun nahin karta
mas'ala hai mujhe rafuugar se

khud mujhe ghar se dar b dar karke
aap ghar poochte hain beghar se

baam ae masjid pe paani peene ko
ik parinda uda hai mandar se

baarishen laut jaayengi lekin
paani aata rahega chappar se

dard o gham ke bhi lootata hai maze
ye hi ummeed thi sukhnavar se

ham bhale jeet len ye saara jahaan
haar jaayenge par muqaddar se

कैसे जीतेंगे जंग लश्कर से
हम तो उलझे हुए हैं बिस्तर से

कोई गर काट कर मुझे देखे
आप निकलेंगे मेरे अंदर से

जब से इस्तीफ़ा भेजा है उसने
मेरा जी भर गया है दफ्तर से

हर दफा रास्ता दिखाता है
मुझको मंज़िल मिली है ठोकर से

हम हराने गए थे बेहतर को
और हम हार आये कम'तर से

शेर पर दाद ए दर्द काफी था
दर्द दुगना हुआ मुकरर्र से

बन के वा'इज़ गए हैं मयखाने
आज हम लड़ पड़े हैं सागर से

फिर से क्या ढूंढ़ती हो तुम मुझमे
तुमको क्या ही मिलेगा खंडर से

मैंने ग़ज़लें सुनाई गारों कों
चीख आने लगी थी पत्थर से

वस्ल का दिन नहीं बताता है
रोज़ लड़ता हूँ मैं कैलेंडर से

चाक ए दिल ठीक क्यों नहीं करता
मस'अला है मुझे रफूगर से

खुद मुझे घर से दर ब दर करके
आप घर पूछते हैं बेघर से

बाम ए मस्जिद पे पानी पीने को
इक परिंदा उड़ा है मंदर से

बारिशें लौट जाएंगी लेकिन
पानी आता रहेगा छप्पर से

दर्द ओ ग़म के भी लूटता है मज़े
ये ही उम्मीद थी सुख़नवर से

हम भले जीत लें ये सारा जहाँ
हार जाएंगे पर मुकद्दर से

  - Mohammad Aquib Khan

Mazhab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mohammad Aquib Khan

As you were reading Shayari by Mohammad Aquib Khan

Similar Writers

our suggestion based on Mohammad Aquib Khan

Similar Moods

As you were reading Mazhab Shayari Shayari