naadaan koi ik roz jo jungle mein gaya | नादाँ कोई इक रोज़ जो जंगल में गया - Aadil Aseer Dehlvi

naadaan koi ik roz jo jungle mein gaya
akhrot ke baagaat ka manzar dekha
hai kitna bada ped to fal chhota sa
ye soch ke vo aur bhi hairaan hua
is itne bade ped pe nanha sa fal
tarbooze. yahan hota to kya achha tha
tarbooze. ko dekho to zara si hai bel
qudrat ne dikhaaye hain tamaashe kya kya
tarbooze. kahaan aur kahaan ye akhrot
kya bhed hai meri na samajh mein aaya
is soch mein tha ki ik hawa ka jhakkar
aandhi sa bagoola sa bifar kar utha
jungle ke darakhton ko hila kar us ne
akhrot ko naadaan ke sar par fenka
sar par pada akhrot to cheekha naadaan
tarbooze. jo hota to main mar hi jaata
hikmat se koi kaam nahin hai khaali
jis ko bhi jahaan tu ne kiya hai paida
us ki jagah us ne nahin behtar koi
ab raaz ye meri bhi samajh mein aaya

नादाँ कोई इक रोज़ जो जंगल में गया
अख़रोट के बाग़ात का मंज़र देखा
है कितना बड़ा पेड़ तो फल छोटा सा
ये सोच के वो और भी हैरान हुआ
इस इतने बड़े पेड़ पे नन्हा सा फल
तरबूज़ यहाँ होता तो क्या अच्छा था
तरबूज़ को देखो तो ज़रा सी है बेल
क़ुदरत ने दिखाए हैं तमाशे क्या क्या
तरबूज़ कहाँ और कहाँ ये अख़रोट
क्या भेद है मेरी न समझ में आया
इस सोच में था कि इक हवा का झक्कड़
आँधी सा बगूला सा बिफर कर उट्ठा
जंगल के दरख़्तों को हिला कर उस ने
अख़रोट को नादान के सर पर फेंका
सर पर पड़ा अख़रोट तो चीख़ा नादान
तरबूज़ जो होता तो मैं मर ही जाता
हिकमत से कोई काम नहीं है ख़ाली
जिस को भी जहाँ तू ने किया है पैदा
उस की जगह उस ने नहीं बेहतर कोई
अब राज़ ये मेरी भी समझ में आया

- Aadil Aseer Dehlvi
1 Like

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Aadil Aseer Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari