jo ban-sanwar ke vo ik maah-roo nikalta hai | जो बन-सँवर के वो इक माह-रू निकलता है - Aadil Rasheed

jo ban-sanwar ke vo ik maah-roo nikalta hai
to har zabaan se bas allah-hoo nikalta hai

halaal rizq ka matlab kisaan se poocho
paseena ban ke badan se lahu nikalta hai

zameen aur muqaddar ki ek hai fitrat
ki jo bhi boya wahi hoo-b-hoo nikalta hai

ye chaand raat hi deedaar ka wasila hai
b-roz-e-eid hi vo khoob-roo nikalta hai

tire baghair gulistaan ko kya hua aadil
jo gul nikalta hai be-rang-o-boo nikalta hai

जो बन-सँवर के वो इक माह-रू निकलता है
तो हर ज़बान से बस अल्लाह-हू निकलता है

हलाल रिज़्क़ का मतलब किसान से पूछो
पसीना बन के बदन से लहू निकलता है

ज़मीन और मुक़द्दर की एक है फ़ितरत
कि जो भी बोया वही हू-ब-हू निकलता है

ये चाँद रात ही दीदार का वसीला है
ब-रोज़-ए-ईद ही वो ख़ूब-रू निकलता है

तिरे बग़ैर गुलिस्ताँ को क्या हुआ 'आदिल'
जो गुल निकलता है बे-रंग-ओ-बू निकलता है

- Aadil Rasheed
9 Likes

Qismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aadil Rasheed

As you were reading Shayari by Aadil Rasheed

Similar Writers

our suggestion based on Aadil Rasheed

Similar Moods

As you were reading Qismat Shayari Shayari