november ki zard-roo dhoop | नवम्बर की ज़र्द-रू धूप - Aamina Mufti

november ki zard-roo dhoop
khidki ke rozan se nikal kar
har soo phail gai hai
veeraan ujaad kamre mein
khushk moti kitaaben hain
neem-shab ki jali adh-jali cigarette
boodhe sha'ir ka puraana chashma
jhurriyon bhare haathon ki larzish mein anokhe alfaaz
rang khushboo falak-paimaai ke naye andaaz
kirm-khurda mez ke aqab mein boodha sha'ir
paar kar ki moti nib se likhe ja raha hai
rang ki zabaan mein khushboo ke afsaane
use khabar bhi nahin
ki
november ki zard-roo dhoop
us ki mez par sarak aayi hai
aur
angoor ki sard khushk bel
khidki ki darz se
use jhaankti hai

नवम्बर की ज़र्द-रू धूप
खिड़की के रौज़न से निकल कर
हर सू फैल गई है
वीरान उजाड़ कमरे में
ख़ुश्क मोटी किताबें हैं
नीम-शब की जली अध-जली सिगरेटें
बूढे शाइ'र का पुराना चश्मा
झुर्रियों भरे हाथों की लर्ज़िश में अनोखे अल्फ़ाज़
रंग ख़ुशबू फ़लक-पैमाई के नए अंदाज़
किर्म-ख़ुर्दा मेज़ के अक़ब में बूढ़ा शाइ'र
पार कर की मोटी निब से लिखे जा रहा है
रंग की ज़बाँ में ख़ुशबू के अफ़्साने
उसे ख़बर भी नहीं
कि
नवम्बर की ज़र्द-रू धूप
उस की मेज़ पर सरक आई है
और
अंगूर की सर्द ख़ुश्क बेल
खिड़की की दर्ज़ से
उसे झाँकती है

- Aamina Mufti
1 Like

Mashwara Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Aamina Mufti

Similar Moods

As you were reading Mashwara Shayari Shayari