mujhe tum se koi mohabbat na ulfat | मुझे तुम से कोई मोहब्बत न उल्फ़त

  - Aarif Akhtar Naqvi

mujhe tum se koi mohabbat na ulfat
ta'alluq bhi ab hai bara-e-ta'lluq
magar tum se jab bhi mila hoon
mujhe mera saaya
jise main wahin chhod aaya
jahaan vo khayaalon ki waadi mein
khwaahish ki titli ke peeche uda ja raha tha
tumhaari ghani zulf ki badliyon mein
zameen se bahut door lekin
mere pair mein dor aisi bandhi thi
ki jis ne mujhe badliyon se utha kar
zameen par bitha kar
mere chaaron jaanib kai daayere bun diye hain
hai dushwaar jin se nikalna
magar tum se jab bhi mila hoon
mujhe mera saaya bahut yaad aaya

मुझे तुम से कोई मोहब्बत न उल्फ़त
तअ'ल्लुक़ भी अब है बरा-ए-तअ'ल्लुक़
मगर तुम से जब भी मिला हूँ
मुझे मेरा साया
जिसे मैं वहीं छोड़ आया
जहाँ वो ख़यालों की वादी में
ख़्वाहिश की तितली के पीछे उड़ा जा रहा था
तुम्हारी घनी ज़ुल्फ़ की बदलियों में
ज़मीं से बहुत दूर लेकिन
मेरे पैर में डोर ऐसी बंधी थी
कि जिस ने मुझे बदलियों से उठा कर
ज़मीं पर बिठा कर
मेरे चारों जानिब कई दाएरे बुन दिए हैं
है दुश्वार जिन से निकलना
मगर तुम से जब भी मिला हूँ
मुझे मेरा साया बहुत याद आया

  - Aarif Akhtar Naqvi

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Aarif Akhtar Naqvi

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari