mahbooba ke naam | "महबूबा के नाम"

  - Abrar Kashif

mahbooba ke naam

tu apni chitthiyon mein meer ke ashaar likhti hai
mohabbat ke bina hai zindagi bekar likhti hai

tere khat to ibaarat hain wafadari ki qasmoñ se
jinhen main padhte darta hoon wahi har baar likhti hai

tu pairokaar leila ki hai sheerin ki pujaaran hai
magar tu jispe baithi hai vo sone ka singhaasan hai

teri palkon ke maskaare tere honthon ki ye laali
ye tere reshmi kapde ye tere kaan ki baali

gale ka ye chamakta haar haathon ke tere kangan
ye sab ke sab hai mere dil mere ehsaas ke dushman

ki inke saamne kuchh bhi nahin hai pyaar ki qeemat
wafa ka mol kya kya hai aitbaar ki qeemat

shikasta kashtiyon tooti hui patwaar ki qeemat
hai meri jeet se badhkar to teri haar ki qeemat

haqeeqat khoon ke aansu tujhe rulvaayegi jaanaan
tu apne faisley par baad mein pachtaayegi jaanaan

mere kaandhe pe chhote bhaaiyon ki zimmedaari hai
mere maa baap boodhe hai behn bhi to kunvaari hai

barhana mausamon ke vaar ko tu sah na paayegi
haveli chhod kar tu jhopdi mein rah na paayegi

ameeri teri meri muflisi ko chhal nahin sakti
tu nange paanv to kaaleen par chal nahin sakti

"महबूबा के नाम"

तू अपनी चिट्ठियों में मीर के अशआर लिखती है
मोहब्बत के बिना है ज़िंदगी बेकार लिखती है

तेरे ख़त तो इबारत हैं वफ़ादारी की क़समों से
जिन्हें मैं पढ़ते डरता हूँ वही हर बार लिखती है

तू पैरोकार लैला की है शीरीं की पुजारन है
मगर तू जिसपे बैठी है वो सोने का सिंहासन है

तेरी पलकों के मस्कारे तेरे होंठों की ये लाली
ये तेरे रेशमी कपड़े ये तेरे कान की बाली

गले का ये चमकता हार हाथों के तेरे कंगन
ये सब के सब है मेरे दिल मेरे एहसास के दुश्मन

कि इनके सामने कुछ भी नहीं है प्यार की क़ीमत
वफ़ा का मोल क्या क्या है ऐतबार की क़ीमत

शिकस्ता कश्तियों टूटी हुई पतवार की क़ीमत
है मेरी जीत से बढ़कर तो तेरी हार की क़ीमत

हक़ीक़त ख़ून के आँसू तुझे रुलवाएगी जानाँ
तू अपने फ़ैसले पर बाद में पछताएगी जानाँ

मेरे काँधे पे छोटे भाइयों की ज़िम्मेदारी है
मेरे माँ बाप बूढ़े है बहन भी तो कुँवारी है

बरहना मौसमों के वार को तू सह न पाएगी
हवेली छोड़ कर तू झोपड़ी में रह न पाएगी

अमीरी तेरी मेरी मुफ़्लिसी को छल नहीं सकती
तू नंगे पाँव तो कालीन पर चल नहीं सकती

  - Abrar Kashif

Father Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Abrar Kashif

As you were reading Shayari by Abrar Kashif

Similar Writers

our suggestion based on Abrar Kashif

Similar Moods

As you were reading Father Shayari Shayari