qaid mein hoon to ghar aaun kaise | क़ैद में हूँ तो घर आऊँ कैसे - Prashant Kumar

qaid mein hoon to ghar aaun kaise
haq kisi ka bhi nibhaaoon kaise

mulk ka qarz pada hai sar par
raakhi ka qarz chukaaun kaise

haath maqtal mein ganwa baitha hoon
rasm raakhi ki nibhaaoon kaise

kaat di meri zubaan logon ne
tujhko geeton mein bulaaoon kaise

jab salaamat hi nahin mere haath
gaal par rang lagaaun kaise

jab ijaazat hi nahin di tune
hont se hont milaaun kaise

क़ैद में हूँ तो घर आऊँ कैसे
हक़ किसी का भी निभाऊँ कैसे

मुल्क का क़र्ज़ पड़ा है सर पर
राखी का क़र्ज़ चुकाऊँ कैसे

हाथ मक़्तल में गँवा बैठा हूँ
रस्म राखी की निभाऊँ कैसे

काट दी मेरी ज़ुबाँ लोगों ने
तुझको गीतों में बुलाऊँ कैसे

जब सलामत ही नहीं मेरे हाथ
गाल पर रंग लगाऊँ कैसे

जब इजाज़त ही नहीं दी तूने
होंट से होंट मिलाऊँ कैसे

- Prashant Kumar
1 Like

Child labour Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Child labour Shayari Shayari