rota hua main aaya rulaata hua gaya
insaaniyat ka farz nibhaata hua gaya
saare jahaan ka dard uthaata hua gaya
kuchh is tarah se dil mein samaata hua gaya
ye qatl khoon sab hai usi ka kiya hua
ilzaam saara hampe lagata hua gaya
hanste hue gaye the tiri anjuman se sab
bas ek main hi ashk bahaata hua gaya
mujhko khabar nahin kisi ke qatl-e-aam kii
main to har ek jurm mitaata hua gaya
main jaanta nahin hoon kisi ko yahan prashaant
phir bhi har ek shakhs bulaata hua gaya
रोता हुआ मैं आया रुलाता हुआ गया
इंसानियत का फ़र्ज़ निभाता हुआ गया
सारे जहाँ का दर्द उठाता हुआ गया
कुछ इस तरह से दिल में समाता हुआ गया
ये क़त्ल ख़ून सब है उसी का किया हुआ
इल्ज़ाम सारा हमपे लगाता हुआ गया
हँसते हुए गए थे तिरी अंजुमन से सब
बस एक मैं ही अश्क बहाता हुआ गया
मुझको ख़बर नहीं किसी के क़त्ल-ए-आम की
मैं तो हर एक जुर्म मिटाता हुआ गया
मैं जानता नहीं हूँ किसी को यहाँ "प्रशांत"
फिर भी हर एक शख़्स बुलाता हुआ गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading Dard Shayari Shayari