kabhi jo raasta hamvaar karne lagta hoon | कभी जो रास्ता हमवार करने लगता हूँ - Aftab Hussain

kabhi jo raasta hamvaar karne lagta hoon
kuch aur bhi use dushwaar karne lagta hoon

mere vujood ke andar bharkane lagta hai
jab us charaagh ka inkaar karne lagta hoon

nazar mein laata hoon us chashm-e-neem-baaz ko main
aur apne aap ko beemaar karne lagta hoon

jahaan bhi koi zara hans ke baat karta hai
main apne zakham numoodaar karne lagta hoon

vo shor hota hai khwaabon mein aftaab husain
ki khud ko neend se bedaar karne lagta hoon

कभी जो रास्ता हमवार करने लगता हूँ
कुछ और भी उसे दुश्वार करने लगता हूँ

मिरे वजूद के अंदर भड़कने लगता है
जब उस चराग़ का इंकार करने लगता हूँ

नज़र में लाता हूँ उस चश्म-ए-नीम-बाज़ को मैं
और अपने आप को बीमार करने लगता हूँ

जहाँ भी कोई ज़रा हँस के बात करता है
मैं अपने ज़ख़्म नुमूदार करने लगता हूँ

वो शोर होता है ख़्वाबों में 'आफ़्ताब' 'हुसैन'
कि ख़ुद को नींद से बेदार करने लगता हूँ

- Aftab Hussain
1 Like

Aahat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aftab Hussain

As you were reading Shayari by Aftab Hussain

Similar Writers

our suggestion based on Aftab Hussain

Similar Moods

As you were reading Aahat Shayari Shayari