usi tarah ke shab-o-roz hain wahi duniya | उसी तरह के शब-ओ-रोज़ हैं वही दुनिया - Aftab Hussain

usi tarah ke shab-o-roz hain wahi duniya
puraani khaak pe ta'aamir hai nayi duniya

main apne aap mein gum tha mujhe khabar na hui
guzar rahi thi mujhe raundti hui duniya

har aadmi ko ye duniya badal ke rakh degi
badal saka na agar ab bhi aadmi duniya

nayi hawa ko madad ke liye pukaarti hai
khud apni aag mein jaltee hui nayi duniya

main jis hawaale se duniya pe ghaur karta hoon
usi tarah se kabhi kaash sochti duniya

main apne asl ki jaanib ravaan-davaan hoon aur
bula rahi hai musalsal mujhe meri duniya

उसी तरह के शब-ओ-रोज़ हैं वही दुनिया
पुरानी ख़ाक पे ता'मीर है नई दुनिया

मैं अपने आप में गुम था मुझे ख़बर न हुई
गुज़र रही थी मुझे रौंदती हुई दुनिया

हर आदमी को ये दुनिया बदल के रख देगी
बदल सका न अगर अब भी आदमी दुनिया

नई हवा को मदद के लिए पुकारती है
ख़ुद अपनी आग में जलती हुई नई दुनिया

मैं जिस हवाले से दुनिया पे ग़ौर करता हूँ
उसी तरह से कभी काश सोचती दुनिया

मैं अपने अस्ल की जानिब रवाँ-दवाँ हूँ और
बुला रही है मुसलसल मुझे मिरी दुनिया

- Aftab Hussain
0 Likes

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aftab Hussain

As you were reading Shayari by Aftab Hussain

Similar Writers

our suggestion based on Aftab Hussain

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari