har phool hai hawaon ke rukh par khila hua | हर फूल है हवाओं के रुख़ पर खिला हुआ - Aftab Hussain

har phool hai hawaon ke rukh par khila hua
aur mein hoon apne khwaab ke andar khila hua

ye main jo raat din nahin apne hawas mein
vo baagh hai zaroor kahi par khila hua

kuch mere sar ko bhi thi mahak si chadhi hui
kuch vo bhi saamne tha barabar khila hua

khwaabon mein khushbuen si khayaalon mein rang se
ye baagh ho agar kahi baahar khila hua

kin manzaron mein mujh ko mahakna tha aftaab
kis regzaar par hoon main aa kar khila hua

हर फूल है हवाओं के रुख़ पर खिला हुआ
और में हूँ अपने ख़्वाब के अंदर खिला हुआ

ये मैं जो रात दिन नहीं अपने हवास में
वो बाग़ है ज़रूर कहीं पर खिला हुआ

कुछ मेरे सर को भी थी महक सी चढ़ी हुई
कुछ वो भी सामने था बराबर खिला हुआ

ख़्वाबों में ख़ुशबुएँ सी ख़यालों में रंग से
ये बाग़ हो अगर कहीं बाहर खिला हुआ

किन मंज़रों में मुझ को महकना था 'आफ़्ताब'
किस रेगज़ार पर हूँ मैं आ कर खिला हुआ

- Aftab Hussain
0 Likes

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aftab Hussain

As you were reading Shayari by Aftab Hussain

Similar Writers

our suggestion based on Aftab Hussain

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari