ye jabr bhi hai bahut ikhtiyaar karte hue | ये जब्र भी है बहुत इख़्तियार करते हुए - Aftab Hussain

ye jabr bhi hai bahut ikhtiyaar karte hue
guzar rahi hai tira intizaar karte hue

kali khili to usi khush-sukhan ki yaad aayi
saba bhi ab ke chali sogwaar karte hue

tire badan ke gulistaan ki yaad aati hai
khud apni zaat ke sehra ko paar karte hue

ye dil ki raah chamakti thi aaine ki tarah
guzar gaya vo use bhi ghubaar karte hue

khud apne haath ki haibat se kaanp jaata hoon
kabhi kabhi kisi dushman pe vaar karte hue

ये जब्र भी है बहुत इख़्तियार करते हुए
गुज़र रही है तिरा इंतिज़ार करते हुए

कली खिली तो उसी ख़ुश-सुख़न की याद आई
सबा भी अब के चली सोगवार करते हुए

तिरे बदन के गुलिस्ताँ की याद आती है
ख़ुद अपनी ज़ात के सहरा को पार करते हुए

ये दिल की राह चमकती थी आइने की तरह
गुज़र गया वो उसे भी ग़ुबार करते हुए

ख़ुद अपने हाथ की हैबत से काँप जाता हूँ
कभी कभी किसी दुश्मन पे वार करते हुए

- Aftab Hussain
0 Likes

Violence Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aftab Hussain

As you were reading Shayari by Aftab Hussain

Similar Writers

our suggestion based on Aftab Hussain

Similar Moods

As you were reading Violence Shayari Shayari