kami rakhta hoon apne kaam ki takmeel mein | कमी रखता हूँ अपने काम की तकमील में - Aftab Hussain

kami rakhta hoon apne kaam ki takmeel mein
mabaada aap kho jaaun kahi tamsil mein

bahut shiddat rahi pehle kinaar-e-chashm tak
umad aaya hai ab vo sail rood-e-neel mein

makaan-e-jan larzata hai hawa-e-hijr se
charaagh-e-yaad ko rakkhenge kis qindeel mein

ye ghadiyan aah pe mujh se gurezaan hain agar
to phir main kyun rahoonga waqt ki tahveel mein

azaab-e-barq-o-baaraan tha andheri raat thi
ravaan theen kashtiyaan kis shaan se is jheel mein

कमी रखता हूँ अपने काम की तकमील में
मबादा आप खो जाऊँ कहीं तमसील में

बहुत शिद्दत रही पहले कनार-ए-चश्म तक
उमड आया है अब वो सैल रूद-ए-नील में

मकान-ए-जाँ लरज़ता है हवा-ए-हिज्र से
चराग़-ए-याद को रक्खेंगे किस क़िंदील में

ये घड़ियाँ आह पे मुझ से गुरेज़ाँ हैं अगर
तो फिर मैं क्यूँ रहूँगा वक़्त की तहवील में

अज़ाब-ए-बर्क़-ओ-बाराँ था अँधेरी रात थी
रवाँ थीं कश्तियाँ किस शान से इस झील में

- Aftab Hussain
0 Likes

Neend Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aftab Hussain

As you were reading Shayari by Aftab Hussain

Similar Writers

our suggestion based on Aftab Hussain

Similar Moods

As you were reading Neend Shayari Shayari