nigaah ke liye ik khwaab bhi ghaneemat hai | निगाह के लिए इक ख़्वाब भी ग़नीमत है - Aftab Hussain

nigaah ke liye ik khwaab bhi ghaneemat hai
vo teergi hai ki ye raushni ghaneemat hai

chalo kahi pe taalluq ki koi shakl to ho
kisi ke dil mein kisi ki kami ghaneemat hai

kam o ziyaada pe israar kya kiya jaaye
hamaare daur mein itni si bhi ghaneemat hai

badal rahe hain zamaane ke rang kya kya dekh
nazar utha ki ye nazzaaragi ghaneemat hai

na jaane waqt ki gardish dikhaayegi kya rukh
guzar rahi hai jo ye zindagi ghaneemat hai

gham-e-jahaan ke jhmelon mein aftaab husain
khayaal-e-yaar ki aasoodagi ghaneemat hai

निगाह के लिए इक ख़्वाब भी ग़नीमत है
वो तीरगी है कि ये रौशनी ग़नीमत है

चलो कहीं पे तअल्लुक़ की कोई शक्ल तो हो
किसी के दिल में किसी की कमी ग़नीमत है

कम ओ ज़ियादा पे इसरार क्या किया जाए
हमारे दौर में इतनी सी भी ग़नीमत है

बदल रहे हैं ज़माने के रंग क्या क्या देख
नज़र उठा कि ये नज़्ज़ारगी ग़नीमत है

न जाने वक़्त की गर्दिश दिखाएगी क्या रुख़
गुज़र रही है जो ये ज़िंदगी ग़नीमत है

ग़म-ए-जहाँ के झमेलों में आफ़्ताब 'हुसैन'
ख़याल-ए-यार की आसूदगी ग़नीमत है

- Aftab Hussain
0 Likes

Ujaala Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aftab Hussain

As you were reading Shayari by Aftab Hussain

Similar Writers

our suggestion based on Aftab Hussain

Similar Moods

As you were reading Ujaala Shayari Shayari