qadam qadam pe kisi imtihaan ki zad mein hai | क़दम क़दम पे किसी इम्तिहाँ की ज़द में है - Aftab Hussain

qadam qadam pe kisi imtihaan ki zad mein hai
zameen ab bhi kahi aasmaan ki zad mein hai

har ek gaam uljhta hoon apne aap se main
vo teer hoon jo khud apni kamaan ki zad mein hai

vo bahar hoon jo khud apne kinaare chaatta hai
vo lehar hoon ki jo sail-e-ravaan ki zad mein hai

main apni zaat pe israar kar raha hoon magar
yaqeen ka khel musalsal gumaan ki zad mein hai

mere vujood ke andar utarta jaata hai
hai koi zahar jo meri zabaan ki zad mein hai

lagi hui hai nazar aane waale manzar par
magar ye dil ki abhi raftagaan ki zad mein hai

yahi nahin ki faqat rizq-e-khwaab band hua
gada-e-koo-e-hunar bhi sagaan ki zad mein hai

ufuq ufuq jo mere noor ka ghubaar uda
ye kaayenaat mere khaak-daan ki zad mein hai

क़दम क़दम पे किसी इम्तिहाँ की ज़द में है
ज़मीन अब भी कहीं आसमाँ की ज़द में है

हर एक गाम उलझता हूँ अपने आप से मैं
वो तीर हूँ जो ख़ुद अपनी कमाँ की ज़द में है

वो बहर हूँ जो ख़ुद अपने किनारे चाटता है
वो लहर हूँ कि जो सैल-ए-रवाँ की ज़द में है

मैं अपनी ज़ात पे इसरार कर रहा हूँ मगर
यक़ीं का खेल मुसलसल गुमाँ की ज़द में है

मिरे वजूद के अंदर उतरता जाता है
है कोई ज़हर जो मेरी ज़बाँ की ज़द में है

लगी हुई है नज़र आने वाले मंज़र पर
मगर ये दिल कि अभी रफ़्तगाँ की ज़द में है

यही नहीं कि फ़क़त रिज़्क़-ए-ख़्वाब बंद हुआ
गदा-ए-कू-ए-हुनर भी सगाँ की ज़द में है

उफ़ुक़ उफ़ुक़ जो मिरे नूर का ग़ुबार उड़ा
ये काएनात मिरे ख़ाक-दाँ की ज़द में है

- Aftab Hussain
1 Like

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aftab Hussain

As you were reading Shayari by Aftab Hussain

Similar Writers

our suggestion based on Aftab Hussain

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari