jab safar se laut kar aane ki tayyaari hui | जब सफ़र से लौट कर आने की तय्यारी हुई - Aftab Hussain

jab safar se laut kar aane ki tayyaari hui
be-taalluq thi jo shay vo bhi bahut pyaari hui

chaar saansen theen magar seene ko bojhal kar gaeein
do qadam ki ye masafat kis qadar bhari hui

ek manzar hai ki aankhon se sarkata hi nahin
ek saaat hai ki saari umr par taari hui

is tarah chaalein badalta hoon bisaat-e-dehr par
jeet loonga jis tarah ye zindagi haari hui

kin tilismi raaston mein umr kaatee aftaab
jis qadar aasaan laga utni hi dushwaari hui

जब सफ़र से लौट कर आने की तय्यारी हुई
बे-तअल्लुक़ थी जो शय वो भी बहुत प्यारी हुई

चार साँसें थीं मगर सीने को बोझल कर गईं
दो क़दम की ये मसाफ़त किस क़दर भारी हुई

एक मंज़र है कि आँखों से सरकता ही नहीं
एक साअत है कि सारी उम्र पर तारी हुई

इस तरह चालें बदलता हूँ बिसात-ए-दहर पर
जीत लूँगा जिस तरह ये ज़िंदगी हारी हुई

किन तिलिस्मी रास्तों में उम्र काटी 'आफ़्ताब'
जिस क़दर आसाँ लगा उतनी ही दुश्वारी हुई

- Aftab Hussain
0 Likes

Travel Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aftab Hussain

As you were reading Shayari by Aftab Hussain

Similar Writers

our suggestion based on Aftab Hussain

Similar Moods

As you were reading Travel Shayari Shayari