vo itr-e-khaak ab kahaan paani ki baas mein | वो इत्र-ए-ख़ाक अब कहाँ पानी की बास में - Aftab Iqbal Shamim

vo itr-e-khaak ab kahaan paani ki baas mein
hum ne badal liya hai piyaala gilaas mein

kal raat aasmaan mera mehmaan raha
kya jaane kya kashish thi mere iltimaas mein

mamnoon hoon main apni ghazal ka ye dekhiye
kya kaam kar gai mere gham ke nikaas mein

main qaid-e-haft-rang se azaad ho gaya
kal shab naqab laga ke makaan-e-hawas mein

phir ye fasaad-e-firqaa-o-maslak hai kis liye
tu aur main to ek hain apni asaas mein

वो इत्र-ए-ख़ाक अब कहाँ पानी की बास में
हम ने बदल लिया है पियाला गिलास में

कल रात आसमान मिरा मेहमाँ रहा
क्या जाने क्या कशिश थी मिरे इल्तिमास में

मम्नून हूँ मैं अपनी ग़ज़ल का ये देखिए
क्या काम कर गई मिरे ग़म के निकास में

मैं क़ैद-ए-हफ़त-रंग से आज़ाद हो गया
कल शब नक़ब लगा के मकान-ए-हवास में

फिर ये फ़साद-ए-फ़िर्क़ा-ओ-मसलक है किस लिए
तू और मैं तो एक हैं अपनी असास में

- Aftab Iqbal Shamim
0 Likes

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aftab Iqbal Shamim

As you were reading Shayari by Aftab Iqbal Shamim

Similar Writers

our suggestion based on Aftab Iqbal Shamim

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari