vaise to bahut dhoya gaya ghar ka andhera | वैसे तो बहुत धोया गया घर का अंधेरा - Aftab Iqbal Shamim

vaise to bahut dhoya gaya ghar ka andhera
nikla nahin deewaar ke andar ka andhera

kuch roshni-e-tab' zaroori hai wagarana
haathon mein utar aata hai ye sar ka andhera

vo hukm ki hai aql-o-aqeede pe muqaddam
chhutne hi nahin deta muqaddar ka andhera

kya kya na abul-haul taraashe gaye us se
jaise ye andhera bhi ho patthar ka andhera

deti hai yahi waqt ki taurat gawaahi
zar ka jo ujaala hai vo hai zar ka andhera

har aankh lagi hai ufuuq-e-daar ki jaanib
suraj se kiran maangata hai dar ka andhera

वैसे तो बहुत धोया गया घर का अंधेरा
निकला नहीं दीवार के अंदर का अंधेरा

कुछ रौश्नी-ए-तब्अ' ज़रूरी है वगरना
हाथों में उतर आता है ये सर का अंधेरा

वो हुक्म कि है अक़्ल-ओ-अक़ीदे पे मुक़द्दम
छुटने ही नहीं देता मुक़द्दर का अंधेरा

क्या क्या न अबुल-हौल तराशे गए उस से
जैसे ये अंधेरा भी हो पत्थर का अंधेरा

देती है यही वक़्त की तौरेत गवाही
ज़र का जो उजाला है वो है ज़र का अंधेरा

हर आँख लगी है उफ़ुक़-ए-दार की जानिब
सूरज से किरन माँगता है डर का अँधेरा

- Aftab Iqbal Shamim
0 Likes

Qismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aftab Iqbal Shamim

As you were reading Shayari by Aftab Iqbal Shamim

Similar Writers

our suggestion based on Aftab Iqbal Shamim

Similar Moods

As you were reading Qismat Shayari Shayari