ik fana ke ghaat utara ek paagal ho gaya
ya'ni mansooba zamaane ka mukammal ho gaya
jism ke barfaab mein aankhen chamakti hain abhi
kaun kehta hai ki us ka hausla shal ho gaya
zehan par be-samtiyon ki baarishen itni hui
ye ilaqa to ghane raston ka jungle ho gaya
is kaleed-e-ism-e-na-ma'loom se kaise khule
dil ka darwaaza ki andar se muqaffal ho gaya
sho'la-zaar-e-gul se guzre to sar-e-aaghaaz hi
ik sharar aankhon se utara khoon mein hal ho gaya
shahr-e-aainda ka dariya hai girift-e-reg mein
bas ki jo hona hai us ka faisla kal ho gaya
mausam-e-taakheer-e-gul aata hai kis ke naam par
kaun hai jis ka lahu is khaak mein hal ho gaya
is qadar khwaabon ko masla paa-e-aahan-posh ne
shauq ka aaeen bil-aakhir mo'attal ho gaya
इक फ़ना के घाट उतरा एक पागल हो गया
या'नी मंसूबा ज़माने का मुकम्मल हो गया
जिस्म के बर्फ़ाब में आँखें चमकती हैं अभी
कौन कहता है कि उस का हौसला शल हो गया
ज़ेहन पर बे-सम्तियों की बारिशें इतनी हुईं
ये इलाक़ा तो घने रस्तों का जंगल हो गया
इस कलीद-ए-इस्म-ए-ना-मा'लूम से कैसे खुले
दिल का दरवाज़ा कि अंदर से मुक़फ़्फ़ल हो गया
शो'ला-ज़ार-ए-गुल से गुज़रे तो सर-ए-आग़ाज़ ही
इक शरर आँखों से उतरा ख़ून में हल हो गया
शहर-ए-आइंदा का दरिया है गिरफ़्त-ए-रेग में
बस कि जो होना है उस का फ़ैसला कल हो गया
मौसम-ए-ताख़ीर-ए-गुल आता है किस के नाम पर
कौन है जिस का लहू इस ख़ाक में हल हो गया
इस क़दर ख़्वाबों को मसला पा-ए-आहन-पोश ने
शौक़ का आईन बिल-आख़िर मोअ'त्तल हो गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aftab Iqbal Shamim
our suggestion based on Aftab Iqbal Shamim
As you were reading Pagal Shayari Shayari