aseer-e-haafiza ho aaj ke jahaan mein aao | असीर-ए-हाफ़िज़ा हो आज के जहान में आओ - Aftab Iqbal Shamim

aseer-e-haafiza ho aaj ke jahaan mein aao
mukaalme ke liye asar ki zabaan mein aao

paye sabaat-e-tagayyur pukaarte hue guzre
chaten shikasta hain niklo naye makaan mein aao

zameen ka waqt se jhagda hai khud nipatte rahenge
kaha hai kis ne ki tum un ke darmiyaan mein aao

ye aath pahar ki duniya tumhein bataaun ki kya hai
nikal ke jism se kuch der apni jaan mein aao

tumhein tumhaari alif deed mein main dekhna chaahoon
nazar bacha ke zamaane se mere dhyaan mein aao

असीर-ए-हाफ़िज़ा हो आज के जहान में आओ
मुकालमे के लिए अस्र की ज़बान में आओ

पए सबात-ए-तग़य्युर पुकारते हुए गुज़रे
छतें शिकस्ता हैं निकलो नए मकान में आओ

ज़मीं का वक़्त से झगड़ा है ख़ुद निपटते रहेंगे
कहा है किस ने कि तुम उन के दरमियान में आओ

ये आठ पहर की दुनिया तुम्हें बताऊँ कि क्या है
निकल के जिस्म से कुछ देर अपनी जान में आओ

तुम्हें तुम्हारी अलिफ़ दीद में मैं देखना चाहूँ
नज़र बचा के ज़माने से मेरे ध्यान में आओ

- Aftab Iqbal Shamim
0 Likes

Deedar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aftab Iqbal Shamim

As you were reading Shayari by Aftab Iqbal Shamim

Similar Writers

our suggestion based on Aftab Iqbal Shamim

Similar Moods

As you were reading Deedar Shayari Shayari