vo aasmaan ke darkhshinda raahiyo_n jaisa
andheri shab mein sehar ki gawaahiyo_n jaisa
kiran-shuoor dil-e-jehl mein utaarta ja
ki waqt aan pada hai tabaahiyon jaisa
faqeer-e-fardaa tire naam se mila hai hamein
ye mulk-e-khwaab tiri baadshaahiyo_n jaisa
niyaaz-o-arz-e-sukhun se kahaan faro hove
ghuroor-o-naaz ki hai kaj-kulaahiyo_n jaisa
kaha tha kis ne ki shaakh-e-naheef se phoote
gunaah ham se hua be-gunaahiyo_n jaisa
meri baraat kisi ajnabi ka likhkhá hua
ye harf harf navishta siyaahiyo_n jaisa
वो आसमाँ के दरख़शिंदा राहियोँ जैसा
अँधेरी शब में सहर की गवाहियों जैसा
किरन-शुऊर, दिल-ए-जहल में उतारता जा
कि वक़्त आन पड़ा है तबाहियों जैसा
फ़क़ीर-ए-फ़र्दा! तिरे नाम से मिला है हमें
ये मुल्क-ए-ख़्वाब, तिरी बादशाहियों जैसा
नियाज़-ओ-अर्ज़-ए-सुख़न से कहाँ फ़रो होवे
ग़ुरूर-ओ-नाज़ कि है कज-कुलाहियों जैसा
कहा था किस ने कि शाख़-ए-नहीफ़ से फूटें
गुनाह हम से हुआ बे-गुनाहियों जैसा
मिरी बरात किसी अजनबी का लिख्खा हुआ
ये हर्फ़ हर्फ़ नविश्ता सियाहियों जैसा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aftab Iqbal Shamim
our suggestion based on Aftab Iqbal Shamim
As you were reading Gunaah Shayari Shayari