ye jo thehra hua manzar hai badalta hi nahin | ये जो ठहरा हुआ मंज़र है बदलता ही नहीं - Aftab Iqbal Shamim

ye jo thehra hua manzar hai badalta hi nahin
waqia pardaa-e-saa'at se nikalta hi nahin

aag se tez koi cheez kahaan se laaun
mom se narm hai vo aur pighlata hi nahin

ye meri khams-hawasi ki tamaasha-gaahe_n
tang hain un mein mera shauq bahalta hi nahin

paikar-e-khaak hain aur khaak mein hai sakl bahut
jism ka wazn talab hum se sambhalta hi nahin

ghaliban waqt mujhe chhod gaya hai peeche
ye jo sikka hai meri jeb mein chalta hi nahin

hum pe ghazlein bhi namaazon ki tarah farz hui
qarz na-khwaasta aisa hai ki talta hi nahin

ये जो ठहरा हुआ मंज़र है बदलता ही नहीं
वाक़िआ' पर्दा-ए-साअ'त से निकलता ही नहीं

आग से तेज़ कोई चीज़ कहाँ से लाऊँ
मोम से नर्म है वो और पिघलता ही नहीं

ये मिरी ख़म्स-हवासी की तमाशा-गाहें
तंग हैं उन में मिरा शौक़ बहलता ही नहीं

पैकर-ए-ख़ाक हैं और ख़ाक में है सक़्ल बहुत
जिस्म का वज़्न तलब हम से सँभलता ही नहीं

ग़ालिबन वक़्त मुझे छोड़ गया है पीछे
ये जो सिक्का है मिरी जेब में चलता ही नहीं

हम पे ग़ज़लें भी नमाज़ों की तरह फ़र्ज़ हुईं
क़र्ज़ ना-ख़्वास्ता ऐसा है कि टलता ही नहीं

- Aftab Iqbal Shamim
0 Likes

Aanch Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aftab Iqbal Shamim

As you were reading Shayari by Aftab Iqbal Shamim

Similar Writers

our suggestion based on Aftab Iqbal Shamim

Similar Moods

As you were reading Aanch Shayari Shayari