hazeeraaten jo fana kar gaeein ghuroor mera | हज़ीमतें जो फ़ना कर गईं ग़ुरूर मिरा - Aftab Iqbal Shamim

hazeeraaten jo fana kar gaeein ghuroor mera
unhi ke dam se munavvar hua shu'ur mera

main hairati kisi mansoor ki talash mein hoon
kare jo aa ke ye aaina choor choor mera

rivaaj-e-zehan se main ikhtilaaf rakhta tha
sar-e-saleeb mujhe le gaya futuur mera

vo ajnabi hai magar ajnabi nahin lagta
yahi ki us se koi rabt hai zaroor mera

main doob kar bhi kisi daur mein nahin dooba
raha hai matlaa-e-imkaan mein zuhoor mera

use ab ahad-e-alam ki inaayaten kahiye
ki zulmato_n mein ujaagar hua hai noor mera

main us lihaaz se be-naam naam-aawar hoon
ki mere ba'ad hua zikr door door mera

हज़ीमतें जो फ़ना कर गईं ग़ुरूर मिरा
उन्ही के दम से मुनव्वर हुआ शुऊ'र मिरा

मैं हैरती किसी मंसूर की तलाश में हूँ
करे जो आ के ये आईना चूर चूर मिरा

रिवाज-ए-ज़ेहन से मैं इख़्तिलाफ़ रखता था
सर-ए-सलीब मुझे ले गया फ़ुतूर मिरा

वो अजनबी है मगर अजनबी नहीं लगता
यही कि उस से कोई रब्त है ज़रूर मिरा

मैं डूब कर भी किसी दौर में नहीं डूबा
रहा है मतला-ए-इमकान में ज़ुहूर मिरा

उसे अब अहद-ए-अलम की इनायतें कहिए
कि ज़ुल्मतों में उजागर हुआ है नूर मिरा

मैं उस लिहाज़ से बे-नाम नाम-आवर हूँ
कि मेरे बा'द हुआ ज़िक्र दूर दूर मिरा

- Aftab Iqbal Shamim
0 Likes

Aaina Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aftab Iqbal Shamim

As you were reading Shayari by Aftab Iqbal Shamim

Similar Writers

our suggestion based on Aftab Iqbal Shamim

Similar Moods

As you were reading Aaina Shayari Shayari