ishq mein ye majboori to ho jaati hai
duniya ghair-zaroori to ho jaati hai
ek ana-e-be-chehra ke badle mein
chaliye kuchh mashhoori to ho jaati hai
dil aur duniya dono ko khush rakhne mein
apne-aap se doori to ho jaati hai
lafzon mein khaali jagahen bhar lene se
baat adhuri poori to ho jaati hai
jazba hai jo roz ke zinda rahne ka
ham se vo mazdoori to ho jaati hai
इश्क़ में ये मजबूरी तो हो जाती है
दुनिया ग़ैर-ज़रूरी तो हो जाती है
एक अना-ए-बे-चेहरा के बदले में
चलिए कुछ मशहूरी तो हो जाती है
दिल और दुनिया दोनों को ख़ुश रखने में
अपने-आप से दूरी तो हो जाती है
लफ़्ज़ों में ख़ाली जगहें भर लेने से
बात अधूरी, पूरी तो हो जाती है
जज़्बा है जो रोज़ के ज़िंदा रहने का
हम से वो मज़दूरी तो हो जाती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aftab Iqbal Shamim
our suggestion based on Aftab Iqbal Shamim
As you were reading Majboori Shayari Shayari