apni kaifiyatein har aan badalti hui shaam | अपनी कैफ़िय्यतें हर आन बदलती हुई शाम - Aftab Iqbal Shamim

apni kaifiyatein har aan badalti hui shaam
munjamid hoti hui aur pighalti hui shaam

dagmagati hui har-gaam sambhalti hui shaam
khwaab-gaahon se udhar khwaab mein chalti hui shaam

goodh kar motiye ke haar ghani zulfon mein
aariz-o-lab pe shafaq surkhiyaan malti hui shaam

ik jhalak poshish-e-be-zabt se uryaani ki
de gai din ke nashebon se fislati hui shaam

ek sannaata rag-o-pay mein sada goonjtaa hai
bujh gai jaise lahu mein koi jaltee hui shaam

waqt bapatismaa kare aab-e-sitaara se use
dast-e-duniya ki daraazi se nikalti hui shaam

अपनी कैफ़िय्यतें हर आन बदलती हुई शाम
मुंजमिद होती हुई और पिघलती हुई शाम

डगमगाती हुई हर-गाम सँभलती हुई शाम
ख़्वाब-गाहों से उधर ख़्वाब में चलती हुई शाम

गूँध कर मोतिए के हार घनी ज़ुल्फ़ों में
आरिज़-ओ-लब पे शफ़क़ सुर्ख़ियाँ मलती हुई शाम

इक झलक पोशिश-ए-बे-ज़ब्त से उर्यानी की
दे गई दिन के नशेबों से फिसलती हुई शाम

एक सन्नाटा रग-ओ-पय में सदा गूँजता है
बुझ गई जैसे लहू में कोई जलती हुई शाम

वक़्त बपतिस्मा करे आब-ए-सितारा से उसे
दस्त-ए-दुनिया की दराज़ी से निकलती हुई शाम

- Aftab Iqbal Shamim
0 Likes

Waqt Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aftab Iqbal Shamim

As you were reading Shayari by Aftab Iqbal Shamim

Similar Writers

our suggestion based on Aftab Iqbal Shamim

Similar Moods

As you were reading Waqt Shayari Shayari