baat ek jaisi hai hajw ya qaseeda likh | बात एक जैसी है हज्व या क़सीदा लिख - Aftab Iqbal Shamim

baat ek jaisi hai hajw ya qaseeda likh
be-niyaaziyaan us ki ho ke aabdaida likh

jam'a kar ye aawaazen meri khud-kalaami ki
aur un ke imle se dard ka jareeda likh

zehan ki hidaayat hai kaatib-e-zamaana ko
aql ki daleelon se aaj ka aqeeda likh

rang-o-roshnaai ki hadd-e-auj se oopar
ho sake to andaazan qaamat-e-kasheeda likh

dekh un khalaon mein nuqta-ha-e-noor us ke
tu bhi ek khaaliq hai she'r cheeda cheeda likh

बात एक जैसी है हज्व या क़सीदा लिख
बे-नियाज़ियाँ उस की हो के आबदीदा लिख

जम्अ' कर ये आवाज़ें मेरी ख़ुद-कलामी की
और उन के इमले से दर्द का जरीदा लिख

ज़ेहन की हिदायत है कातिब-ए-ज़माना को
अक़्ल की दलीलों से आज का अक़ीदा लिख

रंग-ओ-रौशनाई की हद्द-ए-औज से ऊपर
हो सके तो अंदाज़न क़ामत-ए-कशीदा लिख

देख उन ख़लाओं में नुक़्ता-हा-ए-नूर उस के
तू भी एक ख़ालिक़ है शे'र चीदा चीदा लिख

- Aftab Iqbal Shamim
0 Likes

Baaten Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aftab Iqbal Shamim

As you were reading Shayari by Aftab Iqbal Shamim

Similar Writers

our suggestion based on Aftab Iqbal Shamim

Similar Moods

As you were reading Baaten Shayari Shayari