main jab bhi choone lagoo tum zara pare ho jaao
ye kya ki lams mein aate hi doosre ho jaao
ye kaar-e-ishq magar ham se kaise sarzad ho
alaav tez hai sahab zara pare ho jaao
tumhaari umr bhi us aab ke hisaab mein hai
nahin ki us ke barsne se tum hare ho jaao
ye gosha-geer tabi'at bhi ek mahbas hai
hawa ke lams mein aao hare-bhare ho jaao
kabhi to matlaa-e-dil se ho itni baarish-e-ashk
ki tum bhi khul ke barsate hue khare ho jaao
मैं जब भी छूने लगूँ तुम ज़रा परे हो जाओ
ये क्या कि लम्स में आते ही दूसरे हो जाओ
ये कार-ए-इश्क़ मगर हम से कैसे सरज़द हो
अलाव तेज़ है साहब ज़रा परे हो जाओ
तुम्हारी उम्र भी उस आब के हिसाब में है
नहीं कि उस के बरसने से तुम हरे हो जाओ
ये गोशा-गीर तबीअ'त भी एक महबस है
हवा के लम्स में आओ हरे-भरे हो जाओ
कभी तो मतला-ए-दिल से हो इतनी बारिश-ए-अश्क
कि तुम भी खुल के बरसते हुए खरे हो जाओ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aftab Iqbal Shamim
our suggestion based on Aftab Iqbal Shamim
As you were reading Khushboo Shayari Shayari