haanfati naddi mein dam toota hua tha lehar ka | हाँफती नद्दी में दम टूटा हुआ था लहर का - Aftab Iqbal Shamim

haanfati naddi mein dam toota hua tha lehar ka
waqia hai ye sitambar ki kisi sah-pahar ka

sarsaraahat rengte lamhe ki sarkando_n mein thi
tha nasha saari fazaa mein naginon ke zahar ka

thi sadaf mein raushni ki boond tharraai hui
jism ke andar kahi dhadka laga tha qahar ka

dil mein theen aise fasaad-aamaada dil ki dhadkanein
ho bhara balwaaiyo_n se chauk jaise shehar ka

aasmaan utara kinaaron ko milaane ke liye
ye bhi phir dekha ki pal toota hua tha nahar ka

aish-e-be-mi'aad milti par kahaan milti tujhe
meri mitti ki mahak mein shaiba hai dehr ka

हाँफती नद्दी में दम टूटा हुआ था लहर का
वाक़िआ है ये सितंबर की किसी सह-पहर का

सरसराहट रेंगते लम्हे की सरकण्डों में थी
था नशा सारी फ़ज़ा में नागिनों के ज़हर का

थी सदफ़ में रौशनी की बूँद थर्राई हुई
जिस्म के अंदर कहीं धड़का लगा था क़हर का

दिल में थीं ऐसे फ़साद-आमादा दिल की धड़कनें
हो भरा बलवाइयों से चौक जैसे शहर का

आसमाँ उतरा किनारों को मिलाने के लिए
ये भी फिर देखा कि पल टूटा हुआ था नहर का

ऐश-ए-बे-मीआ'द मिलती पर कहाँ मिलती तुझे
मेरी मिट्टी की महक में शाइबा है दहर का

- Aftab Iqbal Shamim
0 Likes

Shehar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aftab Iqbal Shamim

As you were reading Shayari by Aftab Iqbal Shamim

Similar Writers

our suggestion based on Aftab Iqbal Shamim

Similar Moods

As you were reading Shehar Shayari Shayari