dikhaai jaayegi shahr-e-shab mein sehar ki tamsil chal ke dekhen
sar-e-saleeb eistaada hoga khuda-e-injeel chal ke dekhen
gulon ne band-e-qaba hai khola hawa se boo-e-junoon bhi aaye
karenge is mausam-e-wafaa mein ham apni takmeel chal ke dekhen
ghaneem-e-shab ke khilaaf ab ke ziyaan hui ghaib ki gawaahi
pada hua khaak par shikasta par-e-abaabeel chal ke dekhen
chune hain vo reza reza manzar lahu lahu ho gai hain aankhen
chalo na us dukh ke raaste par safar ki tafseel chal ke dekhen
fazaa mein udta hua kahi se ajab nahin aks-e-barg aaye
khizaan ke be-rang aasmaan se ati hui jheel chal ke dekhen
ludhak gaya shab ka koh-paima zameen ki hamwaariyo_n ki jaanib
kahi hawa gul na kar chuki ho ana ki qindeel chal ke dekhen
दिखाई जाएगी शहर-ए-शब में सहर की तमसील चल के देखें
सर-ए-सलीब ईस्तादा होगा ख़ुदा-ए-इंजील चल के देखें
गुलों ने बंद-ए-क़बा है खोला, हवा से बू-ए-जुनूँ भी आए
करेंगे इस मौसम-ए-वफ़ा में हम अपनी तकमील चल के देखें
ग़नीम-ए-शब के ख़िलाफ़ अब के ज़ियाँ हुई ग़ैब की गवाही
पड़ा हुआ ख़ाक पर शिकस्ता पर-ए-अबाबील चल के देखें
चुने हैं वो रेज़ा रेज़ा मंज़र, लहू लहू हो गई हैं आँखें
चलो ना! उस दुख के रास्ते पर सफ़र की तफ़्सील चल के देखें
फ़ज़ा में उड़ता हुआ कहीं से अजब नहीं अक्स-ए-बर्ग आए
ख़िज़ाँ के बे-रंग आसमाँ से अटी हुई झील चल के देखें
लुढ़क गया शब का कोह-पैमा ज़मीं की हमवारियों की जानिब
कहीं हवा गुल न कर चुकी हो अना की क़िंदील चल के देखें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aftab Iqbal Shamim
our suggestion based on Aftab Iqbal Shamim
As you were reading Raasta Shayari Shayari