nazar ke saamne rahna nazar nahin aana
tire siva ye kisi ko hunar nahin aana
ye intizaar magar ikhtiyaar mein bhi nahin
pata to hai ki use umr bhar nahin aana
ye hijraten hain zameen o zamaan se aage ki
jo ja chuka hai use laut kar nahin aana
zara si ghaib ki luknat zabaan mein laao
baghair is ke sukhun mein asar nahin aana
har aane waala naya raasta dikhaata hai
isee liye to hamein raah par nahin aana
zara vo doosri khidki bhi khol kamre ki
nahin to taaza hawa ne idhar nahin aana
karoon masafaten na-aafreeda raahon ki
mujh aisa ba'ad mein aawaara-sar nahin aana
नज़र के सामने रहना नज़र नहीं आना
तिरे सिवा ये किसी को हुनर नहीं आना
ये इंतिज़ार मगर इख़्तियार में भी नहीं
पता तो है कि उसे उम्र भर नहीं आना
ये हिजरतें हैं ज़मीन ओ ज़माँ से आगे की
जो जा चुका है उसे लौट कर नहीं आना
ज़रा सी ग़ैब की लुक्नत ज़बान में लाओ
बग़ैर इस के सुख़न में असर नहीं आना
हर आने वाला नया रास्ता दिखाता है
इसी लिए तो हमें राह पर नहीं आना
ज़रा वो दूसरी खिड़की भी खोल कमरे की
नहीं तो ताज़ा हवा ने इधर नहीं आना
करूँ मसाफ़तें ना-आफ़्रीदा राहों की
मुझ ऐसा बा'द में आवारा-सर नहीं आना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aftab Iqbal Shamim
our suggestion based on Aftab Iqbal Shamim
As you were reading Nature Shayari Shayari