jab chaaha khud ko shaad ya naashaad kar liya | जब चाहा ख़ुद को शाद या नाशाद कर लिया - Aftab Iqbal Shamim

jab chaaha khud ko shaad ya naashaad kar liya
apne liye fareb sa ijaad kar liya

kya sochna ki shauq ka anjaam kya hua
jab ikhtiyaar pesha-e-farhad kar liya

khud se chhupa ke khud ko zamaane ke khauf se
hum ne to apne aap ko barbaad kar liya

tha ishq ka hawala naya hum ne is liye
mazmoon-e-dil ko phir se tabba'-zaad kar liya

yun bhi panaah-e-saaya kaddi dhoop mein mili
aankhen jhukaai aur tujhe yaad kar liya

aaya naya shooor nayi uljhnon ke saath
samjhe the hum ki zehan ko azaad kar liya

bas ki imaam-e-asr ka farmaan tha yahi
munh hum ne soo-e-qibla-e-azdaad kar liya

जब चाहा ख़ुद को शाद या नाशाद कर लिया
अपने लिए फ़रेब सा ईजाद कर लिया

क्या सोचना कि शौक़ का अंजाम क्या हुआ
जब इख़्तियार पेशा-ए-फ़र्हाद कर लिया

ख़ुद से छुपा के ख़ुद को ज़माने के ख़ौफ़ से
हम ने तो अपने आप को बर्बाद कर लिया

था इश्क़ का हवाला नया हम ने इस लिए
मज़मून-ए-दिल को फिर से तब्अ'-ज़ाद कर लिया

यूँ भी पनाह-ए-साया कड़ी धूप में मिली
आँखें झुकाईँ और तुझे याद कर लिया

आया नया शुऊर नई उलझनों के साथ
समझे थे हम कि ज़ेहन को आज़ाद कर लिया

बस कि इमाम-ए-अस्र का फ़रमान था यही
मुँह हम ने सू-ए-क़िब्ला-ए-अज़्दाद कर लिया

- Aftab Iqbal Shamim
0 Likes

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aftab Iqbal Shamim

As you were reading Shayari by Aftab Iqbal Shamim

Similar Writers

our suggestion based on Aftab Iqbal Shamim

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari