naslein jo andhere ke mahaazo_n pe ladi hain
ab din ke katihare mein khata-waar khadi hain
be-naam si aawaaz-e-shagufta aayi kahi se
kuchh patiyaan shaayad shajr-e-shab se jhadi hain
niklen to shikaston ke andhere ubal aayein
rahne do jo kirnen meri aankhon mein gadi hain
aa doob ubharna hai tujhe agle nagar mein
manzil bhi bulaati hai saleeben bhi khadi hain
jab paas kabhi jaayen to pat bhed len khat se
kya ladkiyaan sapne ke dareechon mein khadi hain
kya raat ke aashob mein vo khud se lada tha
aaine ke chehre pe kharaashein si padi hain
khaamoshiyaan us saahil-e-aawaaz se aage
paataal se gahri hain samundar se badi hain
नस्लें जो अँधेरे के महाज़ों पे लड़ी हैं
अब दिन के कटहरे में ख़ता-वार खड़ी हैं
बे-नाम सी आवाज़-ए-शगुफ़्त आई कहीं से
कुछ पतियाँ शायद शजर-ए-शब से झड़ी हैं
निकलें तो शिकस्तों के अँधेरे उबल आएँ
रहने दो जो किरनें मिरी आँखों में गड़ी हैं
आ डूब! उभरना है तुझे अगले नगर में
मंज़िल भी बुलाती है सलीबें भी खड़ी हैं
जब पास कभी जाएँ तो पट भेड़ लें खट से
क्या लड़कियाँ सपने के दरीचों में खड़ी हैं
क्या रात के आशोब में वो ख़ुद से लड़ा था
आईने के चेहरे पे ख़राशें सी पड़ी हैं
ख़ामोशियाँ उस साहिल-ए-आवाज़ से आगे
पाताल से गहरी हैं, समुंदर से बड़ी हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aftab Iqbal Shamim
our suggestion based on Aftab Iqbal Shamim
As you were reading Raat Shayari Shayari