phir bapaa shehar mein afraatafri kar jaaye
koi ye sookhi hui daar hari kar jaaye
jab bhi iqaar ki kuchh roshaniyaan jam'a karoon
meri tardid meri be-basri kar jaaye
maadan-e-shab se nikale zar-e-khushboo aa kar
aaye ye mo'jiza baad-e-sehri kar jaaye
kasratein aayein nazar zaat ki yaktaai mein
ye tamasha kabhi aashuftaa-sari kar jaaye
lamha munsif bhi hai mujrim bhi hai majboori ka
faaeda shak ka mujhe de ke bari kar jaaye
us ka mea'ar hi kya roz badal jaata hai
chhodije vo jo agar na-qadri kar jaaye
फिर बपा शहर में अफ़रातफ़री कर जाए
कोई ये सूखी हुई डार हरी कर जाए
जब भी इक़रार की कुछ रौशनियाँ जम्अ' करूँ
मेरी तरदीद मिरी बे-बसरी कर जाए
मादन-ए-शब से निकाले ज़र-ए-ख़ुश्बू आ कर
आए ये मो'जिज़ा बाद-ए-सहरी कर जाए
कसरतें आएँ नज़र ज़ात की यकताई में
ये तमाशा कभी आशुफ़्ता-सरी कर जाए
लम्हा मुंसिफ़ भी है मुजरिम भी है मजबूरी का
फ़ाएदा शक का मुझे दे के बरी कर जाए
उस का मेआ'र ही क्या रोज़ बदल जाता है
छोड़िए! वो जो अगर ना-क़दरी कर जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aftab Iqbal Shamim
our suggestion based on Aftab Iqbal Shamim
As you were reading Wajood Shayari Shayari