panjo ke bal khade hue shab ki chataan par
nakhun se ik kharaash laga aasmaan par
barson daroon-e-seena sulagna hai phir hamein
lagta hai qufl-e-habs hawa ke makaan par
ik dhaad hai ki chaaron taraf se sunaai de
girdaab-e-chashm ban gaeein aankhen machaan par
maujood bhi kahi na kahi iltawaa mein hai
jo hai nishaan par vo nahin hai nishaan par
us mein kamaal us ki khabar-saaziyo_n ka hai
khaata hoon main fareb jo sach ke gumaan par
sarkash ko nisf umr ka ho lene deejie
bik jaayega kisi na kisi ki dukaan par
पंजों के बल खड़े हुए शब की चटान पर
नाख़ुन से इक ख़राश लगा आसमान पर
बरसों दरून-ए-सीना सुलगना है फिर हमें
लगता है क़ुफ़्ल-ए-हब्स हवा के मकान पर
इक धाड़ है कि चारों तरफ़ से सुनाई दे
गिर्दाब-ए-चश्म बन गईं आँखें मचान पर
मौजूद भी कहीं न कहीं इल्तवा में है
जो है निशान पर वो नहीं है निशान पर
उस में कमाल उस की ख़बर-साज़ियों का है
खाता हूँ मैं फ़रेब जो सच के गुमान पर
सरकश को निस्फ़ उम्र का हो लेने दीजिए
बिक जाएगा किसी न किसी की दुकान पर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aftab Iqbal Shamim
our suggestion based on Aftab Iqbal Shamim
As you were reading Dhokha Shayari Shayari