misaal-e-sail-e-balaa na thehre hawa na thehre | मिसाल-ए-सैल-ए-बला न ठहरे हवा न ठहरे - Aftab Iqbal Shamim

misaal-e-sail-e-balaa na thehre hawa na thehre
lagaaye jaayen hazaar pahre hawa na thehre

kahi kahi dhoop chhup-chhupa kar utar hi aayi
dabeez baadal hue ikihre hawa na thehre

varq jab ulte kitaab-e-mausam dikhaaye kya kya
gulaab aariz badan sunhare hawa na thehre

vo saans umdi ki be-hiso_n ne gazab mein aa kar
gira diye habs ke katihare hawa na thehre

kabhi badan ke ruyen ruyen mein hawas ubhri
kabhi kare gosh hosh bahre hawa na thehre

usi ki raftaar-e-paa se ubharen nuqoosh-e-rangeen
kahi pe halke kahi pe gehre hawa na thehre

sadaa-e-har-soo falak ke gumbad mein goonjti hai
hawa na thehre hawa na thehre hawa na thehre

मिसाल-ए-सैल-ए-बला न ठहरे हवा न ठहरे
लगाए जाएँ हज़ार पहरे हवा न ठहरे

कहीं कहीं धूप छुप-छुपा कर उतर ही आई
दबीज़ बादल हुए इकहरे हवा न ठहरे

वरक़ जब उल्टे किताब-ए-मौसम दिखाए क्या क्या
गुलाब आरिज़ बदन सुनहरे हवा न ठहरे

वो साँस उमडी कि बे-हिसों ने ग़ज़ब में आ कर
गिरा दिए हब्स के कटहरे हवा न ठहरे

कभी बदन के रुएँ रुएँ में हवास उभरीं
कभी करे गोश होश बहरे हवा न ठहरे

उसी की रफ़्तार-ए-पा से उभरें नुक़ूश-ए-रंगीं
कहीं पे हल्के कहीं पे गहरे हवा न ठहरे

सदा-ए-हर-सू फ़लक के गुम्बद में गूँजती है
हवा न ठहरे हवा न ठहरे हवा न ठहरे

- Aftab Iqbal Shamim
0 Likes

Pollution Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aftab Iqbal Shamim

As you were reading Shayari by Aftab Iqbal Shamim

Similar Writers

our suggestion based on Aftab Iqbal Shamim

Similar Moods

As you were reading Pollution Shayari Shayari