guzarti hai jo ham par raftagaan ham kuchh nahin kahte | गुज़रती है जो हम पर रफ़्तगाँ हम कुछ नहीं कहते

  - Afzal Gohar

guzarti hai jo ham par raftagaan ham kuchh nahin kahte
tumhein aa kar sunaayenge yahan ham kuchh nahin karte

hamaari khaamoshi ke bhi kai mafhoom hote hain
wahan bhi kuchh to kahte hain jahaan ham kuchh nahin kahte

zameen ke dukh sunaate hain zameen ki baat karte hain
kabhi apne liye ai aasmaan ham kuchh nahin kahte

kabhi dil se guzarti ho kahi aankhon se bahti ho
tujhe phir bhi kabhi joo-e-ravaan ham kuchh nahin kahte

andhere se maza aata hai kuchh takraar karne mein
tujhe to ai charaagh-e-neem-jaan ham kuchh nahin kahte

गुज़रती है जो हम पर रफ़्तगाँ हम कुछ नहीं कहते
तुम्हें आ कर सुनाएँगे यहाँ हम कुछ नहीं करते

हमारी ख़ामुशी के भी कई मफ़्हूम होते हैं
वहाँ भी कुछ तो कहते हैं जहाँ हम कुछ नहीं कहते

ज़मीं के दुख सुनाते हैं ज़मीं की बात करते हैं
कभी अपने लिए ऐ आसमाँ हम कुछ नहीं कहते

कभी दिल से गुज़रती हो कहीं आँखों से बहती हो
तुझे फिर भी कभी जू-ए-रवाँ हम कुछ नहीं कहते

अंधेरे से मज़ा आता है कुछ तकरार करने में
तुझे तो ऐ चराग़-ए-नीम-जाँ हम कुछ नहीं कहते

  - Afzal Gohar

Falak Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Gohar

As you were reading Shayari by Afzal Gohar

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Gohar

Similar Moods

As you were reading Falak Shayari Shayari