tab us ne meri chaanv ka ehsaan liya hai | तब उस ने मिरी छाँव का एहसान लिया है - Afzal Gohar

tab us ne meri chaanv ka ehsaan liya hai
jab mujh ko parindon ne shajar maan liya hai

darta hoon zameen is ka bura maan na jaaye
thoda sa falak sar pe agar taan liya hai

aawaara-mizaaji ki tasalli nahin hoti
main ne to tira saara jahaan chaan liya hai

bas hukm mila aur nikal aaye wahan se
chalte hue ujlat mein hi samaan liya hai

ye zeest to gauhar mujhe virse mein mili thi
duniya ne magar is ka bhi tawaan liya hai

तब उस ने मिरी छाँव का एहसान लिया है
जब मुझ को परिंदों ने शजर मान लिया है

डरता हूँ ज़मीं इस का बुरा मान न जाए
थोड़ा सा फ़लक सर पे अगर तान लिया है

आवारा-मिज़ाजी की तसल्ली नहीं होती
मैं ने तो तिरा सारा जहाँ छान लिया है

बस हुक्म मिला और निकल आए वहाँ से
चलते हुए उजलत में ही सामान लिया है

ये ज़ीस्त तो 'गौहर' मुझे विर्से में मिली थी
दुनिया ने मगर इस का भी तावान लिया है

- Afzal Gohar
0 Likes

Aasman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Gohar

As you were reading Shayari by Afzal Gohar

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Gohar

Similar Moods

As you were reading Aasman Shayari Shayari