apni thokar se jo ik vaar kiya hai main ne | अपनी ठोकर से जो इक वार किया है मैं ने

  - Afzal Gohar

apni thokar se jo ik vaar kiya hai main ne
dekh kya raasta hamvaar kiya hai main ne

bhurbhure jism ki mitti ne bahut khwaar kiya
apne hone pe jab israar kiya hai main ne

main yoonhi aaya nahin baagh-e-adan ki jaanib
ek sehra tha jise paar kiya hai main ne

ai shab-e-khwaab ye hangaam-e-tahayyur kya hai
khud ko gar neend se bedaar kiya hai main ne

vo koi aur na tha mere alaava gauhar
paanv rakh kar jise mismar kiya hai main ne

अपनी ठोकर से जो इक वार किया है मैं ने
देख क्या रास्ता हमवार किया है मैं ने

भुरभुरे जिस्म की मिट्टी ने बहुत ख़्वार किया
अपने होने पे जब इसरार किया है मैं ने

मैं यूँही आया नहीं बाग़-ए-अदन की जानिब
एक सहरा था जिसे पार किया है मैं ने

ऐ शब-ए-ख़्वाब ये हंगाम-ए-तहय्युर क्या है
ख़ुद को गर नींद से बेदार किया है मैं ने

वो कोई और न था मेरे अलावा 'गौहर'
पाँव रख कर जिसे मिस्मार किया है मैं ने

  - Afzal Gohar

Badan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Gohar

As you were reading Shayari by Afzal Gohar

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Gohar

Similar Moods

As you were reading Badan Shayari Shayari