ye kis ke naqsh-e-paa se aisa silsila charaagh tha | ये किस के नक़्श-ए-पा से ऐसा सिलसिला चराग़ था - Afzal Gohar

ye kis ke naqsh-e-paa se aisa silsila charaagh tha
ki mujh ko yun laga ki saara raasta charaagh tha

zara si der mein hi khadd-o-khaal-e-shab badal gaye
na shakl koi chaand thi na aaina charaagh tha

sawaal ye hai raushni wahan pe rok di gai
jahaan pe har kisi ke haath mein naya charaagh tha

bahut se haath subh ki dua hi karte rah gaye
main pur-umeed tha ki mera hausla charaagh tha

kahi kahi se jhad rahi thi bhurbhuri si raushni
hawaa-e-shab ke gham mein kaisa mubtala charaagh tha

zara si kya hawa chali ki log satpata gaye
wahi ganwa diya gaya jo raat ka charaagh tha

ये किस के नक़्श-ए-पा से ऐसा सिलसिला चराग़ था
कि मुझ को यूँ लगा कि सारा रास्ता चराग़ था

ज़रा सी देर में ही ख़द्द-ओ-ख़ाल-ए-शब बदल गए
न शक्ल कोई चाँद थी न आइना चराग़ था

सवाल ये है रौशनी वहाँ पे रोक दी गई
जहाँ पे हर किसी के हाथ में नया चराग़ था

बहुत से हाथ सुब्ह की दुआ ही करते रह गए
मैं पुर-उमीद था कि मेरा हौसला चराग़ था

कहीं कहीं से झड़ रही थी भुर्भुरी सी रौशनी
हवा-ए-शब के ग़म में कैसा मुब्तला चराग़ था

ज़रा सी क्या हवा चली कि लोग सटपटा गए
वही गँवा दिया गया जो रात का चराग़ था

- Afzal Gohar
0 Likes

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Gohar

As you were reading Shayari by Afzal Gohar

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Gohar

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari