to phir vo ishq ye naqd-o-nazar baraae-farokht | तो फिर वो इश्क़ ये नक़्द-ओ-नज़र बराए-फ़रोख़्त

  - Afzal Khan

to phir vo ishq ye naqd-o-nazar baraae-farokht
sukhun baraaye-hunar hai hunar baraae-farokht

ayaan kiya hai tira raaz fi-sabeelillah
khabar na thi ki hai ye bhi khabar baraae-farokht

main qafile se bichhad kar bhala kahaan jaaun
sajaaye baitha hoon zaad-e-safar baraae-farokht

parinde lad hi pade jaayedaad par aakhir
shajar pe likkha hua hai shajar baraae-farokht

main pehle kuufa gaya is ke b'ad misr gaya
idhar baraaye-shahaadat udhar baraae-farokht

zara ye doosra misra durust farmaayein
mere makaan pe likkha hai ghar baraae-farokht

तो फिर वो इश्क़ ये नक़्द-ओ-नज़र बराए-फ़रोख़्त
सुख़न बराए-हुनर है हुनर बराए-फ़रोख़्त

अयाँ किया है तिरा राज़ फ़ी-सबीलिल्लाह
ख़बर न थी कि है ये भी ख़बर बराए-फ़रोख़्त

मैं क़ाफ़िले से बिछड़ कर भला कहाँ जाऊँ
सजाए बैठा हूँ ज़ाद-ए-सफ़र बराए-फ़रोख़्त

परिंदे लड़ ही पड़े जाएदाद पर आख़िर
शजर पे लिक्खा हुआ है शजर बराए-फ़रोख़्त

मैं पहले कूफ़ा गया इस के ब'अद मिस्र गया
इधर बराए-शहादत उधर बराए-फ़रोख़्त

ज़रा ये दूसरा मिस्रा दुरुस्त फ़रमाएँ
मिरे मकान पे लिक्खा है घर बराए-फ़रोख़्त

  - Afzal Khan

Ishq Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Khan

As you were reading Shayari by Afzal Khan

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Khan

Similar Moods

As you were reading Ishq Shayari Shayari