tirchi nazar na ho taraf-e-dil to kya karoon | तिरछी नज़र न हो तरफ़-ए-दिल तो क्या करूँ - Agha Hajju Sharaf

tirchi nazar na ho taraf-e-dil to kya karoon
leila ke na-pasand ho mahmil to kya karoon

thehre na khoon-bahaa soo-e-qaatil to kya karoon
haq ho jo khud-bakhud mera baatil to kya karoon

ik rang ko jahaan mein nahin koi maanta
har rang mein rahoon na main shaamil to ya karoon

piswaaun be-gunaah jo dil ko hina ke saath
pursaan-e-haal ho koi aadil to kya karoon

parwaana hone ki bhi ijaazat nahin mujhe
aalam-fareb hai tiri mehfil to kya karoon

jaata guloo-burida bhi ud kar gulon ke paas
baazu gaya hai tod ke bismil to kya karoon

leila ye kah ke jalwa dikhaati hai qais ko
udne lage jo parda-e-mehmil to kya karoon

khud chahta hoon zabt karoon dard-e-shauq main
dil hi mera na ho mutahammil to kya karoon

munh choom luun ki gird phiroon daud daud ke
ai dil jo haath rok le qaateel to kya karoon

dam raah-e-shauq-o-zauq mein leta nahin kahi
is par bhi tay na ho jo ye manzil to kya karoon

kyoon-kar na jabr dil pe karoon apne ikhtiyaar
raahat mein aa pade koi mushkil to kya karoon

ik ik se poochte hain vo aaina dekh kar
maashooq paau pyaar ke qaabil to kya karoon

de doon main raah-e-ishq mein jaan us ke naam par
naachaar hoon na ho koi sail to kya karoon

taanke jigar ke zakham mein kyunkar lagaane doon
gul tere baagh ka ho muqaabil to kya karoon

aane ko manaa karte ho achha na aaunga
ye to kaho na maane mera dil to kya karoon

shaayad mujhe jamaal dikha de vo ai kaleem
nazzare ka na hoon mutahammil to kya karoon

mar jaaun doob kar sharf us paar yaar hai
kashti na ho koi lab-e-saahil to kya karoon

तिरछी नज़र न हो तरफ़-ए-दिल तो क्या करूँ
लैला के ना-पसंद हो महमिल तो क्या करूँ

ठहरे न ख़ूँ-बहा सू-ए-क़ातिल तो क्या करूँ
हक़ हो जो ख़ुद-बख़ुद मिरा बातिल तो क्या करूँ

इक रंग को जहाँ में नहीं कोई मानता
हर रंग में रहूँ न मैं शामिल तो या करूँ

पिसवाऊँ बे-गुनाह जो दिल को हिना के साथ
पुर्सान-ए-हाल हो कोई आदिल तो क्या करूँ

परवाना होने की भी इजाज़त नहीं मुझे
आलम-फ़रेब है तिरी महफ़िल तो क्या करूँ

जाता गुलू-बुरीदा भी उड़ कर गुलों के पास
बाज़ू गया है तोड़ के बिस्मिल तो क्या करूँ

लैला ये कह के जल्वा दिखाती है क़ैस को
उड़ने लगे जो पर्दा-ए-महमिल तो क्या करूँ

ख़ुद चाहता हूँ ज़ब्त करूँ दर्द-ए-शौक़ मैं
दिल ही मिरा न हो मुतहम्मिल तो क्या करूँ

मुँह चूम लूँ कि गिर्द फिरूँ दौड़ दौड़ के
ऐ दिल जो हाथ रोक ले क़ातिल तो क्या करूँ

दम राह-ए-शौक़-ओ-ज़ौक़ में लेता नहीं कहीं
इस पर भी तय न हो जो ये मंज़िल तो क्या करूँ

क्यूँ-कर न जब्र दिल पे करूँ अपने इख़्तियार
राहत में आ पड़े कोई मुश्किल तो क्या करूँ

इक इक से पूछते हैं वो आईना देख कर
माशूक़ पाऊँ प्यार के क़ाबिल तो क्या करूँ

दे दूँ मैं राह-ए-इश्क़ में जान उस के नाम पर
नाचार हूँ न हो कोई साइल तो क्या करूँ

टाँके जिगर के ज़ख़्म में क्यूँकर लगाने दूँ
गुल तेरे बाग़ का हो मुक़ाबिल तो क्या करूँ

आने को मना करते हो अच्छा न आऊँगा
ये तो कहो न माने मिरा दिल तो क्या करूँ

शायद मुझे जमाल दिखा दे वो ऐ कलीम
नज़्ज़ारे का न हूँ मुतहम्मिल तो क्या करूँ

मर जाऊँ डूब कर 'शरफ़' उस पार यार है
कश्ती न हो कोई लब-ए-साहिल तो क्या करूँ

- Agha Hajju Sharaf
0 Likes

Manzil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Agha Hajju Sharaf

As you were reading Shayari by Agha Hajju Sharaf

Similar Writers

our suggestion based on Agha Hajju Sharaf

Similar Moods

As you were reading Manzil Shayari Shayari