bulbul ka dil khizaan ke sadme se hil raha hai | बुलबुल का दिल ख़िज़ाँ के सदमे से हिल रहा है

  - Agha Hajju Sharaf

bulbul ka dil khizaan ke sadme se hil raha hai
gulzaar ka murqqa mitti mein mil raha hai

aalam mein jis ne jis ne dekha hai aalam un ka
koi to ham se kah de qaabu mein dil raha hai

ruksat bahaar ki hai kohraam hai chaman mein
gunche se guncha bulbul bulbul se mil raha hai

hargiz shabaab par tum naazaan sharf na hona
milne ko khaak mein hai jo phool khil raha hai

बुलबुल का दिल ख़िज़ाँ के सदमे से हिल रहा है
गुलज़ार का मुरक़्क़ा मिट्टी में मिल रहा है

आलम में जिस ने जिस ने देखा है आलम उन का
कोई तो हम से कह दे क़ाबू में दिल रहा है

रुख़्सत बहार की है कोहराम है चमन में
ग़ुंचे से ग़ुंचा बुलबुल बुलबुल से मिल रहा है

हरगिज़ शबाब पर तुम नाज़ाँ 'शरफ़' न होना
मिलने को ख़ाक में है जो फूल खिल रहा है

  - Agha Hajju Sharaf

Phool Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Agha Hajju Sharaf

As you were reading Shayari by Agha Hajju Sharaf

Similar Writers

our suggestion based on Agha Hajju Sharaf

Similar Moods

As you were reading Phool Shayari Shayari