pari-paikar jo mujh wahshi ka pairaahan banaate hain | परी-पैकर जो मुझ वहशी का पैराहन बनाते हैं - Agha Hajju Sharaf

pari-paikar jo mujh wahshi ka pairaahan banaate hain
garebaan chaak kar dete hain be-daaman banaate hain

junoon mein jaa-b-jaa hum jo lahu rote hain sehra mein
gulon ke shauq mein veeraane ko gulshan banaate hain

jinhen ishq-e-dili hai vo tumhaara naam japne ko
tahaarat se hamaari khaak ki misran banaate hain

murqqa kheenchte hain jo tire ganj-e-shaheedaan ka
tah-e-shamsheer har tasveer ki gardan banaate hain

diya karte ho tum jis tarah se bal zulf-e-pechaan ko
musaafir ke liye yun faansiyaa rehzan banaate hain

haseenaan-e-chaman par khaatma hai jaama-zebi ka
fata padta hai joban jo ye pairaahan banaate hain

hamesha shefta rakhti hai apni husn-e-qudrat ka
khud us ki rooh ho jaate hain jis ka tan banaate hain

iraada hai jo shamsheer-e-do-dam ke munh pe chadhne ka
tire jaan-baaz chaar aaina o joshan banaate hain

raha karte hain vo dil mein fira karte hain nazaron mein
ata karte hain noor aankhon ko dil raushan banaate hain

salaah-e-ishq de de kar kiye dete hain khud rafta
tire shaidai dil se dost ko dushman banaate hain

koi chaak-e-jigar bulbul ka gul-cheenon se paata hai
nikharne ko gul apne apne pairaahan banaane hain

gulon ke dher la la ke chaman se us mein phoonkenge
qareeb-e-bostaan bedaad-gar gul-khan banaate hain

madad tayaar hai naqsha irm ka khinch ke aaya hai
shaheed-e-naaz par rehm aa gaya madfan banaate hain

murqqa kheenchte hain baagh ka jo husn qudrat se
gul-e-shaadaab ka kya rang kya roghan banaate hain

ta'alluq zeb-o-zeenat se nahin kuch khaaksaaron ko
sharf mitti mein rangte hain jo pairaahan banaate hain

परी-पैकर जो मुझ वहशी का पैराहन बनाते हैं
गरेबाँ चाक कर देते हैं बे-दामन बनाते हैं

जुनूँ में जा-ब-जा हम जो लहू रोते हैं सहरा में
गुलों के शौक़ में वीराने को गुलशन बनाते हैं

जिन्हें इश्क़-ए-दिली है वो तुम्हारा नाम जपने को
तहारत से हमारी ख़ाक की मिसरन बनाते हैं

मुरक़्क़ा खींचते हैं जो तिरे गंज-ए-शहीदाँ का
तह-ए-शमशीर हर तस्वीर की गर्दन बनाते हैं

दिया करते हो तुम जिस तरह से बल ज़ुल्फ़-ए-पेचाँ को
मुसाफ़िर के लिए यूँ फाँसियाँ रहज़न बनाते हैं

हसीनान-ए-चमन पर ख़ात्मा है जामा-ज़ेबी का
फटा पड़ता है जोबन जो ये पैराहन बनाते हैं

हमेशा शेफ़्ता रखती है अपनी हुस्न-ए-क़ुदरत का
ख़ुद उस की रूह हो जाते हैं जिस का तन बनाते हैं

इरादा है जो शमशीर-ए-दो-दम के मुँह पे चढ़ने का
तिरे जाँ-बाज़ चार आईना ओ जोशन बनाते हैं

रहा करते हैं वो दिल में फिरा करते हैं नज़रों में
अता करते हैं नूर आँखों को दिल रौशन बनाते हैं

सलाह-ए-इश्क़ दे दे कर किए देते हैं ख़ुद रफ़्ता
तिरे शैदाई दिल से दोस्त को दुश्मन बनाते हैं

कोई चाक-ए-जिगर बुलबुल का गुल-चीनों से पाता है
निखरने को गुल अपने अपने पैराहन बनाने हैं

गुलों के ढेर ला ला के चमन से उस में फूंकेंगे
क़रीब-ए-बोस्ताँ बेदाद-गर गुलख़न बनाते हैं

मदद तयार है नक़्शा इरम का खिंच के आया है
शहीद-ए-नाज़ पर रहम आ गया मदफ़न बनाते हैं

मुरक़्क़ा खींचते हैं बाग़ का जो हुस्न क़ुदरत से
गुल-ए-शादाब का क्या रंग क्या रोग़न बनाते हैं

तअ'ल्लुक़ ज़ेब-ओ-ज़ीनत से नहीं कुछ ख़ाकसारों को
'शरफ़' मिट्टी में रंगते हैं जो पैराहन बनाते हैं

- Agha Hajju Sharaf
0 Likes

Jalwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Agha Hajju Sharaf

As you were reading Shayari by Agha Hajju Sharaf

Similar Writers

our suggestion based on Agha Hajju Sharaf

Similar Moods

As you were reading Jalwa Shayari Shayari