jo saamna bhi kabhi yaar-e-khoob-roo se hua
zamaane bhar ka yurish mujh pe chaar soo se hua
kaha ishaaron se main ne ki tum pe marta hoon
jo nutq band mera un ki guftugoo se hua
kisi ko bhi na havas thi halaal hone ki
rivaj-e-shauq-e-shahaadat mere guloo se hua
jidhar nigaah ki jalwa tira nazar aaya
kamaal-e-kashf mujhe teri aarzoo se hua
khula na haal kisi par ki kya mizaaj mein hai
khudaai mein koi waqif na us ki khoo se hua
ajab ghadi se garebaan fata tha majnoon ka
tamaam umr na waqif kabhi rafu se hua
bade-badoon ko lagaaya na munh kabhi main ne
vo zarf hoon ki na waqif kabhi suboo se hua
vo khud bhi kar gaye tar aansuon se turbat ko
gali mein yaar ki madfoon is aabroo se hua
bahaar-e-baagh ko aaye jo dekhne be-yaar
dimaagh aur pareshaan gulon ki boo se hua
chadaaye gor-e-ghareeban pe gul jo us gul ne
chaman behisht ka paida maqaam-e-hoo se hua
halaal hone ko sayyaad se mohabbat ki
qaza jo aayi to maanoos main adoo se hua
khudaai karne laga yaar be-niyaazi se
bada ghuroor use meri aarzoo se hua
jahaan se mehfil-e-meraaj mein hui talabi
bashar ka martaba ye us ki justuju se hua
lagaate hain jo sab aankhon se aab-e-zamzam ko
sharf ye faiz ka chashma meri wazu se hua
जो सामना भी कभी यार-ए-ख़ूब-रू से हुआ
ज़माने भर का युरिश मुझ पे चार सू से हुआ
कहा इशारों से मैं ने कि तुम पे मरता हूँ
जो नुत्क़ बंद मिरा उन की गुफ़्तुगू से हुआ
किसी को भी न हवस थी हलाल होने की
रिवाज-ए-शौक़-ए-शहादत मिरे गुलू से हुआ
जिधर निगाह की जल्वा तिरा नज़र आया
कमाल-ए-कश्फ़ मुझे तेरी आरज़ू से हुआ
खुला न हाल किसी पर कि क्या मिज़ाज में है
ख़ुदाई में कोई वाक़िफ़ न उस की ख़ू से हुआ
अजब घड़ी से गरेबाँ फटा था मजनूँ का
तमाम उम्र न वाक़िफ़ कभी रफ़ू से हुआ
बड़े-बड़ों को लगाया न मुँह कभी मैं ने
वो ज़र्फ़ हूँ कि न वाक़िफ़ कभी सुबू से हुआ
वो ख़ुद भी कर गए तर आँसुओं से तुर्बत को
गली में यार की मदफ़ून इस आबरू से हुआ
बहार-ए-बाग़ को आए जो देखने बे-यार
दिमाग़ और परेशाँ गुलों की बू से हुआ
चढ़ाए गोर-ए-ग़रीबाँ पे गुल जो उस गुल ने
चमन बहिश्त का पैदा मक़ाम-ए-हू से हुआ
हलाल होने को सय्याद से मोहब्बत की
क़ज़ा जो आई तो मानूस मैं अदू से हुआ
ख़ुदाई करने लगा यार बे-नियाज़ी से
बड़ा ग़ुरूर उसे मेरी आरज़ू से हुआ
जहाँ से महफ़िल-ए-मेराज में हुई तलबी
बशर का मर्तबा ये उस की जुस्तुजू से हुआ
लगाते हैं जो सब आँखों से आब-ए-ज़मज़म को
'शरफ़' ये फ़ैज़ का चश्मा मिरी वज़ू से हुआ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Agha Hajju Sharaf
our suggestion based on Agha Hajju Sharaf
As you were reading Ishaara Shayari Shayari