kis ke haathon bik gaya kis ke khareedaron mein hoon | किस के हाथों बिक गया किस के ख़रीदारों में हूँ - Agha Hajju Sharaf

kis ke haathon bik gaya kis ke khareedaron mein hoon
kya hai kyun mashhoor main saudaai bazaaron mein hoon

gham nahin jo bediyaan pahne giriftaaron mein hoon
naaz hai is par ki tere naz-bardaaron mein hoon

tere kooche mein jo mera khoon ho ai laala-roo
surkh-roo yaaron mein hoon gul-rang gulzaaron mein hoon

is qadar hai ai pari-roo zor par josh-e-junoon
sar se todoo qaid agar lohe ki deewaron mein hoon

ishq se matlab na tha dil zulf mein uljha na tha
tha jab azaadon mein tha ab to giriftaaron mein hoon

hogi maashooqon ko khwaahish mujh nahiif-o-zaar ki
gul karenge aarzoo meri main un khaaron mein hoon

dil ko dhamkaana hai dhyaan us nargis-e-beemaar ka
jaan le kar chhodta hoon main un azaaron mein hoon

us mere saude ka duniya mein thikaana hai kahi
jaan ka gaahak jo hai us ke khareedaron mein hoon

kis se poochoon kya karoon sayyaad ki marzi ki baat
taaza waarid hoon qafas mein to giriftaaron mein hoon

aarzoo hai main vo gul ho jaaun ai rask-e-chaman
baagh mein din bhar rahoon shab ko tire haaron mein hoon

aa gaya dam zeeq mein lekin na ye saabit hua
kaun hai eesa mera main kis ke beemaaron mein hoon

darie aisi aankh se jo saaf ishaare se kahe
nargis-e-beemaar hoon par mardum-aazaaron mein hoon

dil to main sadqa karoon tum us pe meri jaan lo
tum hi munsif ho ki main aise gunehgaaro mein hoon

kaun hoon kya hoon kahaan hoon main nahin ye bhi khabar
khud-ghalat khud-rafta hoon main khaak hoshyaaron mein hoon

hai ye abroo ka ishaara thi jahaan ki zul-fiqar
ai sharf main us sulh-khaani ki talwaaron mein hoon

किस के हाथों बिक गया किस के ख़रीदारों में हूँ
क्या है क्यूँ मशहूर मैं सौदाई बाज़ारों में हूँ

ग़म नहीं जो बेड़ियाँ पहने गिरफ़्तारों में हूँ
नाज़ है इस पर कि तेरे नाज़-बरदारों में हूँ

तेरे कूचे में जो मेरा ख़ून हो ऐ लाला-रू
सुर्ख़-रू यारों में हूँ गुल-रंग गुलज़ारों में हूँ

इस क़दर है ऐ परी-रू ज़ोर पर जोश-ए-जुनूँ
सर से तोड़ूँ क़ैद अगर लोहे की दीवारों में हूँ

इश्क़ से मतलब न था दिल ज़ुल्फ़ में उलझा न था
था जब आज़ादों में था अब तो गिरफ़्तारों में हूँ

होगी माशूक़ों को ख़्वाहिश मुझ नहीफ़-ओ-ज़ार की
गुल करेंगे आरज़ू मेरी मैं उन ख़ारों में हूँ

दिल को धमकाना है ध्यान उस नर्गिस-ए-बीमार का
जान ले कर छोड़ता हूँ मैं उन आज़ारों में हूँ

उस मिरे सौदे का दुनिया में ठिकाना है कहीं
जान का गाहक जो है उस के ख़रीदारों में हूँ

किस से पूछूँ क्या करूँ सय्याद की मर्ज़ी की बात
ताज़ा वारिद हूँ क़फ़स में तो गिरफ़्तारों में हूँ

आरज़ू है मैं वो गुल हो जाऊँ ऐ रश्क-ए-चमन
बाग़ में दिन भर रहूँ शब को तिरे हारों में हूँ

आ गया दम ज़ीक़ में लेकिन न ये साबित हुआ
कौन है ईसा मिरा मैं किस के बीमारों में हूँ

डरिए ऐसी आँख से जो साफ़ इशारे से कहे
नर्गिस-ए-बीमार हूँ पर मर्दुम-आज़ारों में हूँ

दिल तो मैं सदक़ा करूँ तुम उस पे मेरी जान लो
तुम ही मुंसिफ़ हो कि मैं ऐसे गुनहगारों में हूँ

कौन हूँ क्या हूँ कहाँ हूँ मैं नहीं ये भी ख़बर
ख़ुद-ग़लत ख़ुद-रफ़्ता हूँ मैं ख़ाक होशयारों में हूँ

है ये अबरू का इशारा थी जहाँ की ज़ुल-फ़िक़ार
ऐ 'शरफ़' मैं उस सुलह-ख़ानी की तलवारों में हूँ

- Agha Hajju Sharaf
0 Likes

Khwaahish Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Agha Hajju Sharaf

As you were reading Shayari by Agha Hajju Sharaf

Similar Writers

our suggestion based on Agha Hajju Sharaf

Similar Moods

As you were reading Khwaahish Shayari Shayari