ishq-e-dahan mein guzri hai kya kuchh na poochiye | इश्क़-ए-दहन में गुज़री है क्या कुछ न पूछिए

  - Agha Hajju Sharaf

ishq-e-dahan mein guzri hai kya kuchh na poochiye
naaghuftani hai haal mera kuchh na poochiye

kya dard-e-ishq ka hai maza kuchh na poochiye
kehta hai dil kisi se dava kuchh na poochiye

mahshar ke dagdage ka main ahvaal kya kahoon
hangaama jo hua so hua kuchh na poochiye

jab poochiye to poochiye kya guzri ishq mein
ham se to aur us ke siva kuchh na poochiye

kya kya ye sabz baagh dikhaati hai naz'a mein
dam de rahi hai jo jo qaza kuchh na poochiye

poocha jo ham ne gor-e-ghareeban ka ja ke haal
aayi ye turbaton se sada kuchh na poochiye

qismat se paaiye jo kabhi us ko khush-mizaj
kya kuchh na kahiye yaar se kya kuchh na poochiye

ragdi hain ediyaan to hui hai ye mustajaab
kis aajizi se ki hai dua kuchh na poochiye

chhodaa jo murda jaan ke sayyaad ne mujhe
kyunkar uda main ho ke rihaa kuchh na poochiye

tarsa kiya main daulat-e-deedaar ke liye
qismat ne jo sulook kiya kuchh na poochiye

ulfat ka naam le ke nazar-band ho gaye
paai jo pyaar kar ke saza kuchh na poochiye

kya sarguzisht gor-e-ghareeban ki main kahoon
ahwaal-e-bandgaan-e-khuda kuchh na poochiye

khushboo ne aap ki jo sar-afraaz use kiya
kis naaz se chali hai saba kuchh na poochiye

poocha sharf ke marne ka un se jo waqia
aankhon mein ashk bhar ke kaha kuchh na poochiye

इश्क़-ए-दहन में गुज़री है क्या कुछ न पूछिए
नाग़ुफ़्तनी है हाल मिरा कुछ न पूछिए

क्या दर्द-ए-इश्क़ का है मज़ा कुछ न पूछिए
कहता है दिल किसी से दवा कुछ न पूछिए

महशर के दग़दग़े का मैं अहवाल क्या कहूँ
हंगामा जो हुआ सो हुआ कुछ न पूछिए

जब पूछिए तो पूछिए क्या गुज़री इश्क़ में
हम से तो और उस के सिवा कुछ न पूछिए

क्या क्या ये सब्ज़ बाग़ दिखाती है नज़'अ में
दम दे रही है जो जो क़ज़ा कुछ न पूछिए

पूछा जो हम ने गोर-ए-ग़रीबाँ का जा के हाल
आई ये तुर्बतों से सदा कुछ न पूछिए

क़िस्मत से पाइए जो कभी उस को ख़ुश-मिज़ाज
क्या कुछ न कहिए यार से क्या कुछ न पूछिए

रगड़ी हैं एड़ियाँ तो हुई है ये मुस्तजाब
किस आजिज़ी से की है दुआ कुछ न पूछिए

छोड़ा जो मुर्दा जान के सय्याद ने मुझे
क्यूँकर उड़ा मैं हो के रिहा कुछ न पूछिए

तरसा किया मैं दौलत-ए-दीदार के लिए
क़िस्मत ने जो सुलूक किया कुछ न पूछिए

उल्फ़त का नाम ले के नज़र-बंद हो गए
पाई जो प्यार कर के सज़ा कुछ न पूछिए

क्या सरगुज़िश्त गोर-ए-ग़रीबाँ की मैं कहूँ
अहवाल-ए-बंदगान-ए-ख़ुदा कुछ न पूछिए

ख़ुशबू ने आप की जो सर-अफ़राज़ उसे किया
किस नाज़ से चली है सबा कुछ न पूछिए

पूछा 'शरफ़' के मरने का उन से जो वाक़िआ
आँखों में अश्क भर के कहा कुछ न पूछिए

  - Agha Hajju Sharaf

Ibaadat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Agha Hajju Sharaf

As you were reading Shayari by Agha Hajju Sharaf

Similar Writers

our suggestion based on Agha Hajju Sharaf

Similar Moods

As you were reading Ibaadat Shayari Shayari