pur-noor jis ke husn se madfan tha kaun tha | पुर-नूर जिस के हुस्न से मदफ़न था कौन था

  - Agha Hajju Sharaf

pur-noor jis ke husn se madfan tha kaun tha
chehra ye kis shaheed ka raushan tha kaun tha

thehra gaya hai la ke jo manzil mein ishq ki
kya jaane rehnuma tha ki rehzan tha kaun tha

toda tha kis ke dil ko khilone ki tarah se
aashiq tumhaara jab ki ladakpan tha kaun tha

kis dil se hai khudaai mein ijaad dard-e-ishq
roz-e-azl jo moojid-e-shevan tha kaun tha

huu ka maqaam tha mujhe roti thi be-kasi
koi na tha jahaan mera madfan tha kaun tha

jhuk jhuk ke dekhta tha vo kis ki jigar ka ghaav
tar jis ke khun mein yaar ka daaman tha kaun tha

ham muskuraate the vo dikhaata tha sair-e-baagh
dam kis pe shefta dam-e-murdan tha kaun tha

insaan tha ki koi pari-zaad tha sharf
dil mera jis ke noor se raushan tha kaun tha

पुर-नूर जिस के हुस्न से मदफ़न था कौन था
चेहरा ये किस शहीद का रौशन था कौन था

ठहरा गया है ला के जो मंज़िल में इश्क़ की
क्या जाने रहनुमा था कि रहज़न था कौन था

तोड़ा था किस के दिल को खिलौने की तरह से
आशिक़ तुम्हारा जब कि लड़कपन था कौन था

किस दिल से है ख़ुदाई में ईजाद दर्द-ए-इश्क़
रोज़-ए-अज़ल जो मूजिद-ए-शेवन था कौन था

हू का मक़ाम था मुझे रोती थी बे-कसी
कोई न था जहाँ मिरा मदफ़न था कौन था

झुक झुक के देखता था वो किस की जिगर का घाव
तर जिस के ख़ूँ में यार का दामन था कौन था

हम मुस्कुराते थे वो दिखाता था सैर-ए-बाग़
दम किस पे शेफ़्ता दम-ए-मुर्दन था कौन था

इंसान था कि कोई परी-ज़ाद था 'शरफ़'
दिल मेरा जिस के नूर से रौशन था कौन था

  - Agha Hajju Sharaf

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Agha Hajju Sharaf

As you were reading Shayari by Agha Hajju Sharaf

Similar Writers

our suggestion based on Agha Hajju Sharaf

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari