mausam-e-gul mein jo ghir ghir ke ghataaein aayein
hosh ud jaate hain jin se vo hawaaein aayein
chal base soo-e-adam tum ne bulaaya jin ko
yaad aayi to ghareebon ki qazaayein aayein
rooh taazi hui turbat mein vo thandi thandi
baag-e-firdaus ki har soo se hawaaein aayein
main vo deewaana tha jis ke liye bazm-e-gham mein
jaa-b-jaa bichne ko pariyon ki ridaaein aayein
munkir-e-zulm jo jallaad hue mahshar mein
khud gawaahi ke liye sab ki jafaaen aayein
mujrimon hi ko nahin zulm ka farmaan aaya
be-gunaahon ko bhi likh likh ke sazaayein aayein
us ka deewaana hoon samjhaati hain pariyaan mujh ko
sar firaane ko kahaan se ye balaaen aayein
tire bande hue ki jin se lagaavat tu ne
ai pari-roo tujhe kyunkar ye adaayein aayein
hashr mauqoof kiya josh mein rahmat aayi
zaar naale ki jo har soo se sadaaein aayein
lashkar-e-gul jo gulistaan mein khizaan par umdaa
saath dene ko pahaadon se ghataaein aayein
meri turbat pe kabhi dhoop na aane paaye
shaam tak subh se ghir ghir ke ghataaein aayein
munh chhupaane lage ma'shooq jawaan ho ho kar
nek-o-bad ki samajh aayi to hayaayein aayein
khaak udaane jo saba aayi meri turbat par
sar patakti hui rone ko ghataaein aayein
bakhsh di us ne mere b'ad jo poshaak meri
qais o farhaad ke hisson mein qabaayein aayein
raahatein samjhe haseenon ne jo eezaayein deen
pyaar aaya to pasand un ki jafaaen aayein
aa gaya rehm use deen sab ki muraadein us ne
aajizon ki jo sifaarish ko duaaein aayein
mere sehra ki ziyaarat ko hazaaron pariyaan
roz le le ke sulemaan ko razaayein aayein
ai sharf husn-paraston ko bula ke lootaa
in haseenon ke dilon mein jo dagaayein aayein
मौसम-ए-गुल में जो घिर घिर के घटाएँ आईं
होश उड़ जाते हैं जिन से वो हवाएँ आईं
चल बसे सू-ए-अदम तुम ने बुलाया जिन को
याद आई तो ग़रीबों की क़ज़ाएँ आईं
रूह ताज़ी हुई तुर्बत में वो ठंडी ठंडी
बाग़-ए-फ़िरदौस की हर सू से हवाएँ आईं
मैं वो दीवाना था जिस के लिए बज़्म-ए-ग़म में
जा-ब-जा बिछने को परियों की रिदाएँ आईं
मुंकिर-ए-ज़ुल्म जो जल्लाद हुए महशर में
ख़ुद गवाही के लिए सब की जफ़ाएँ आईं
मुजरिमों ही को नहीं ज़ुल्म का फ़रमान आया
बे-गुनाहों को भी लिख लिख के सज़ाएँ आईं
उस का दीवाना हूँ समझाती हैं परियाँ मुझ को
सर फिराने को कहाँ से ये बलाएँ आईं
तिरे बंदे हुए की जिन से लगावट तू ने
ऐ परी-रू तुझे क्यूँकर ये अदाएँ आईं
हश्र मौक़ूफ़ किया जोश में रहमत आई
ज़ार नाले की जो हर सू से सदाएँ आईं
लश्कर-ए-गुल जो गुलिस्ताँ में ख़िज़ाँ पर उमडा
साथ देने को पहाड़ों से घटाएँ आईं
मेरी तुर्बत पे कभी धूप न आने पाए
शाम तक सुब्ह से घिर घिर के घटाएँ आईं
मुँह छुपाने लगे मा'शूक़ जवाँ हो हो कर
नेक-ओ-बद की समझ आई तो हयाएँ आईं
ख़ाक उड़ाने जो सबा आई मिरी तुर्बत पर
सर पटकती हुई रोने को घटाएँ आईं
बख़्श दी उस ने मिरे ब'अद जो पोशाक मिरी
क़ैस ओ फ़रहाद के हिस्सों में क़बाएँ आईं
राहतें समझे हसीनों ने जो ईज़ाएँ दीं
प्यार आया तो पसंद उन की जफ़ाएँ आईं
आ गया रहम उसे दीं सब की मुरादें उस ने
आजिज़ों की जो सिफ़ारिश को दुआएँ आईं
मेरे सहरा की ज़ियारत को हज़ारों परियाँ
रोज़ ले ले के सुलैमान को रज़ाएँ आईं
ऐ 'शरफ़' हुस्न-परस्तों को बुला के लूटा
इन हसीनों के दिलों में जो दग़ाएँ आईं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Agha Hajju Sharaf
our suggestion based on Agha Hajju Sharaf
As you were reading Shaheed Shayari Shayari