rang jin ke mit gaye hain un mein yaar aane ko hai | रंग जिन के मिट गए हैं उन में यार आने को है

  - Agha Hajju Sharaf

rang jin ke mit gaye hain un mein yaar aane ko hai
dhoom hai pazmurda phoolon mein bahaar aane ko hai

yaar kooche mein tire dhooni ramaane ke liye
gham-zada hasrat-zada ik khaaksaar aane ko hai

rehm karna ab ki meri aankh khulne ki nahin
aakhiri ghash mujh ko ai parwardigaar aane ko hai

koi dam mein hashr hoga kuchh khabar bhi hai tumhein
be-qaraari laati hai ik be-qaraar aane ko hai

bhaage jaate hain bagule kaanpata hai najd-e-qais
khaak udri kis ki yahan kis ka ghubaar aane ko hai

hosh ude jaate hain yaaro rooh hai sahmi hui
said-gaah-e-ishq se kis ka shikaar aane ko hai

jaan-e-jaan tu keejo jaan-bakhshi ki tujh ko dekhne
ek be-kas be-khud o be-ikhtiyaar aane ko hai

dard-e-tanhaai se chhudaata hai aalam naz'a ka
be-qaraari kooch karti hai qaraar aane ko hai

gul-rukho'n ki bazm mein jaane ko hai mera ghubaar
peshwaai ke liye abr-e-bahaar aane ko hai

ab meri aankhon ko hoga valvala deedaar ka
hasrat in mein aa chuki hai intizaar aane ko hai

hogi ab aaraasta turbat shaheed-e-naaz ki
chaadar-e-gul bichhti hai sham-e-mazaar aane ko hai

be-wafa tum ba-wafa main dekhiye hota hai kya
ghaiz mein aane ko tum ho mujh ko pyaar aane ko hai

guncha-o-gul kar rahi hain kyun garebaan chaak chaak
kaun se rask-e-chaman ka dil-figaar aane ko hai

hijr mein dam ghutne ko hai kooch hai tafreeh ka
saans rukne ko hai hichki chand baar aane ko hai

baithi hai leila garebaan faarne ke vaaste
kis ke majnoon ka libaas-e-taar-taar aane ko hai

ghash se chaunko aankh kholo dam na todo ai sharf
shukr ka sajda karo uth baitho yaar aane ko hai

रंग जिन के मिट गए हैं उन में यार आने को है
धूम है पज़मुर्दा फूलों में बहार आने को है

यार कूचे में तिरे धूनी रमाने के लिए
ग़म-ज़दा हसरत-ज़दा इक ख़ाकसार आने को है

रहम करना अब की मेरी आँख खुलने की नहीं
आख़िरी ग़श मुझ को ऐ पर्वरदिगार आने को है

कोई दम में हश्र होगा कुछ ख़बर भी है तुम्हें
बे-क़रारी लाती है इक बे-क़रार आने को है

भागे जाते हैं बगूले काँपता है नज्द-ए-क़ैस
ख़ाक उड़ी किस की यहाँ किस का ग़ुबार आने को है

होश उड़े जाते हैं यारो रूह है सहमी हुई
सैद-गाह-ए-इश्क़ से किस का शिकार आने को है

जान-ए-जाँ तू कीजो जाँ-बख़्शी कि तुझ को देखने
एक बे-कस बे-ख़ुद ओ बे-इख़्तियार आने को है

दर्द-ए-तन्हाई से छुड़ाता है आलम नज़'अ का
बे-क़रारी कूच करती है क़रार आने को है

गुल-रुख़ों की बज़्म में जाने को है मेरा ग़ुबार
पेशवाई के लिए अब्र-ए-बहार आने को है

अब मिरी आँखों को होगा वलवला दीदार का
हसरत इन में आ चुकी है इंतिज़ार आने को है

होगी अब आरास्ता तुर्बत शहीद-ए-नाज़ की
चादर-ए-गुल बिछती है शम-ए-मज़ार आने को है

बे-वफ़ा तुम बा-वफ़ा मैं देखिए होता है क्या
ग़ैज़ में आने को तुम हो मुझ को प्यार आने को है

ग़ुंचा-ओ-गुल कर रही हैं क्यूँ गरेबाँ चाक चाक
कौन से रश्क-ए-चमन का दिल-फ़िगार आने को है

हिज्र में दम घुटने को है कूच है तफ़रीह का
साँस रुकने को है हिचकी चंद बार आने को है

बैठी है लैला गरेबाँ फाड़ने के वास्ते
किस के मजनूँ का लिबास-ए-तार-तार आने को है

ग़श से चौंको आँख खोलो दम न तोड़ो ऐ 'शरफ़'
शुक्र का सज्दा करो उठ बैठो यार आने को है

  - Agha Hajju Sharaf

One sided love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Agha Hajju Sharaf

As you were reading Shayari by Agha Hajju Sharaf

Similar Writers

our suggestion based on Agha Hajju Sharaf

Similar Moods

As you were reading One sided love Shayari Shayari