ud kar suraagh-e-koocha-e-dilbar lagaaiye | उड़ कर सुराग़-ए-कूचा-ए-दिलबर लगाइए

  - Agha Hajju Sharaf

ud kar suraagh-e-koocha-e-dilbar lagaaiye
kis tarah dono baazuon mein par lagaaiye

ik teer dil par ek jigar par lagaaiye
hissa lagaaiye to barabar lagaaiye

phoolon mein topiye mujhe naazuk-dimaagh hoon
lillaah is lahd mein na patthar lagaaiye

jab bazm-e-yaar mein hai takalluf rasai ka
khilwat-saraa-e-khaas mein bistar lagaaiye

har dam kiya kare rag-e-jaan marhaba ka shor
is nok-jhonk se koi nashtar lagaaiye

barson se be-qaraar hai taskin ke liye
jhukiye zara jigar se mere sar lagaaiye

kya bastani qafas ki ye bulbul ko bhejie
hisse mein us ke phoolon ki chadar lagaaiye

ja apne dil mein deejie mujh saaf-qalb ko
aaine mein shabeeh-e-sikandar lagaaiye

yaavar naseeb ho to haseenon ko chahiye
dil un se aazma ke muqaddar lagaaiye

akshar vo kahte hain ki jo bosa talab kare
is guftugoo pe munh ise kyunkar lagaaiye

aaye dahan-e-zakhm se awaaz aur aur
is is ada-o-naaz se khanjar lagaaiye

purze mere udaaiye bheja hai main ne khat
be-jurm kyun kabaab-e-kabootar lagaaiye

soorat jo ek ek ki takta hai aaina
hasrat ye hai suraagh-e-sikandar lagaaiye

hain aap to tamaam khudaai ke nakhuda
mera jahaaz bhi lab-e-kawthar lagaaiye

barham-mizaaj ho ke vo bargashtagi kare
daftar mein jis ke fard-e-muqaddar lagaaiye

daulat jo mujh gareeb ki looti hai aap ne
kya keejiega hissa-e-lashkar lagaaiye

jatnon ki jaanen leen hain unhen khoon-bahaa mile
poora hisaab dekh ke daftar lagaaiye

us gul ki aa hi jaayegi khushboo dimaagh mein
chaliye riyaaz-e-ishq mein chakkar lagaaiye

ifshaa kiya jo ishq to jhunjhla ke bole vo
likhwaa ke ishtehaar ye ghar ghar lagaaiye

sau ja se dil fata hai kaleja hai chaak chaak
paivand faad faad ke chadar lagaaiye

phir uth ke tere haath se katwaaiye gala
kyoon-kar dobara jism mein phir sar lagaaiye

saath is qadar hain us shah-e-khoobaa'n ke sarfaroosh
barson hisaab kasrat-e-lashkar lagaaiye

kahte hain lakht-e-dil ko vo bazaar-e-husn mein
sauda ye mere urdu se baahar lagaaiye

mujh se lagaavat aap ki shamsheer karti hai
marta hoon us pe is ko mere sar lagaaiye

sailaab-e-ashk ne mere raaste kiye hain band
kashti manga ke muttasil-e-dar lagaaiye

khilat shaheed-e-naaz ko bhijwaate hain jawaab
kashti mein pehle phoolon ki chadar lagaaiye

pahuncha ke khat halaal hua hai ye ai sharf
aankhon se le ke khoon-e-kabootar lagaaiye

उड़ कर सुराग़-ए-कूचा-ए-दिलबर लगाइए
किस तरह दोनों बाज़ुओं में पर लगाइए

इक तीर दिल पर एक जिगर पर लगाइए
हिस्सा लगाइए तो बराबर लगाइए

फूलों में तोपिए मुझे नाज़ुक-दिमाग़ हूँ
लिल्लाह इस लहद में न पत्थर लगाइए

जब बज़्म-ए-यार में है तकल्लुफ़ रसाई का
ख़ल्वत-सरा-ए-ख़ास में बिस्तर लगाइए

हर दम किया करे रग-ए-जाँ मर्हबा का शोर
इस नोक-झोंक से कोई नश्तर लगाइए

बरसों से बे-क़रार है तस्कीन के लिए
झुकिए ज़रा जिगर से मिरे सर लगाइए

क्या बस्तनी क़फ़स की ये बुलबुल को भेजिए
हिस्से में उस के फूलों की चादर लगाइए

जा अपने दिल में दीजिए मुझ साफ़-क़ल्ब को
आईने में शबीह-ए-सिकंदर लगाइए

यावर नसीब हो तो हसीनों को चाहिए
दिल उन से आज़मा के मुक़द्दर लगाइए

अक्सर वो कहते हैं कि जो बोसा तलब करे
इस गुफ़्तुगू पे मुँह इसे क्यूँकर लगाइए

आए दहान-ए-ज़ख़्म से आवाज़ और और
इस इस अदा-ओ-नाज़ से ख़ंजर लगाइए

पुर्ज़े मिरे उड़ाइए भेजा है मैं ने ख़त
बे-जुर्म क्यूँ कबाब-ए-कबूतर लगाइए

सूरत जो एक एक की तकता है आइना
हसरत ये है सुराग़-ए-सिकंदर लगाइए

हैं आप तो तमाम ख़ुदाई के नाख़ुदा
मेरा जहाज़ भी लब-ए-कौसर लगाइए

बरहम-मिज़ाज हो के वो बरगश्तगी करे
दफ़्तर में जिस के फ़र्द-ए-मुक़द्दर लगाइए

दौलत जो मुझ ग़रीब की लूटी है आप ने
क्या कीजिएगा हिस्सा-ए-लश्कर लगाइए

जतनों की जानें लीं हैं उन्हें ख़ूँ-बहा मिले
पूरा हिसाब देख के दफ़्तर लगाइए

उस गुल की आ ही जाएगी ख़ुशबू दिमाग़ में
चलिए रियाज़-ए-इश्क़ में चक्कर लगाइए

इफ़शा किया जो इश्क़ तो झुँझला के बोले वो
लिखवा के इश्तिहार ये घर घर लगाइए

सौ जा से दिल फटा है कलेजा है चाक चाक
पैवंद फाड़ फाड़ के चादर लगाइए

फिर उठ के तेरे हाथ से कटवाइए गला
क्यूँ-कर दोबारा जिस्म में फिर सर लगाइए

साथ इस क़दर हैं उस शह-ए-ख़ूबाँ के सरफ़रोश
बरसों हिसाब कसरत-ए-लश्कर लगाइए

कहते हैं लख़्त-ए-दिल को वो बाज़ार-ए-हुसन में
सौदा ये मेरे उर्दू से बाहर लगाइए

मुझ से लगावट आप की शमशीर करती है
मरता हूँ उस पे इस को मिरे सर लगाइए

सैलाब-ए-अश्क ने मिरे रस्ते किए हैं बंद
कश्ती मँगा के मुत्तसिल-ए-दर लगाइए

ख़िलअत शहीद-ए-नाज़ को भिजवाते हैं जवाब
कश्ती में पहले फूलों की चादर लगाइए

पहुँचा के ख़त हलाल हुआ है ये ऐ 'शरफ़'
आँखों से ले के ख़ून-ए-कबूतर लगाइए

  - Agha Hajju Sharaf

Badan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Agha Hajju Sharaf

As you were reading Shayari by Agha Hajju Sharaf

Similar Writers

our suggestion based on Agha Hajju Sharaf

Similar Moods

As you were reading Badan Shayari Shayari